Gham-E-Dil Ko In Aankhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai,
Tadpna Bhi Hume Aata Hai Tadpana Bhi Aata Hai,
Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi HumNe Guzari Hai,
Hume Wo Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai,
Wo Aaye Ru-Ba-Ru Hum Dastan Apni Sunayenge,
Kuch Apna Dil Jalayenge Kuch UnKo Aazmayenge,
Dabe Paav Hume Aa Kar Kisi Ka GudGuda Dena,
Wo Apna Rooth Jana Aur Wo Un Ka Mana Lena,
Wo Manzar Jhankte Hai Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se,
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Wo Andaaz Bachpan K,
Hume Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabro Hona,
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafa Mein DiL nasheen Hona,
Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Mang Bhar Denge,
Ye Dil Kya Cheez Hai Hum Jan Bhi Tere naam Kar Denge..-
Mere ashaar sunana na sunane dena,
Jab main duniya se chala jau to jane dena,
Sath inke hai bohat khaak udayi maine,
In hawaon ko meri khaak udane dena,
Mat batana ke bikhar jaye to kya hota hai,
Nayi naslon ko naye khawb sajane dena,
Rahu khamosh to khamosh hi rakhna mujh ko,
Aur agar shor machaun to shor machane dena,
Aur jaan lena ke naya hath bulata hai tumhe,
Agar koi hath chudaye to chudane dena,
Ab to barish main bhi school khula karte hai,
Wahan mat bhejna bachon ko nahane dena,
Haan wahi baat jo maloom hai sab logon ko,
Main wahi baat chupaunga chupane dena,
Waqt duniya ko sunayega kahani meri,
Kahe deta hoon mera naam na aane dena,
MEre jeene pe hansenlog koi baat nahi,
Haan meri maut ka matam na manane dena..-
Jinhe hasil hai tera Ishq, khus-kismat sahi lekin,,
Teri hasrat liye mar Jaane wale or hote hai..-
Rooh jaanti hai pehle se mile logon ko.
Rooh ki yaadasht,
jism ki yaadashat se kahin zyada muqammal hai.
Rooh ke pass lafz nahi,
zubañ nahi hai kuch kehne ko,
Par woh rok leti hai jism ko,
tumhare ass-pass hi kahin.
bina kuch kahe,
baat bhi hoti hai tumhari rooh ki,
Meri rooh se.
Nazar milti hai toh Iss qadar ka sukoon ki maano,
jalti dhoop me kisi ne sharbat ki ghoont di ho.
Faasle mulkon ke bhi ho,
rokte nahi raabta apna.
Mujhe toh khair utna yaad nahi ho tum,
par rooh batati hai ki Rishta purana hai.
Kyunki,
Rooh jaanti hai pehle se mile logon ko.-
Jakham kitne teri chahat se mile hai mujhko,,
Sochta hu ke kahu tujh se,, magar Jaane de..-
Nafrton ka aks bhi padne na dena zahan par,,
Ye andhera na Jaane kitno ka ujaala kha gya..-
Phir bhi tujhse mulakat ki na koi surat nikli,,
Jindagi humne bahout thor thikane badle..-
Main Us k Chehre Ko Dil Se Utaar Deta Hoon,
Main Kabhi Kabhi to Khud Ko Bhi Maar Deta Hoon.
Ye Mera Haq Hai K Main Us ko Thora Dukh Bhi Doon,
Main Chahat Bhi Tu Us Ko Beshumar Deta Hoon.
Khafaa Wo Reh Nahi Sakti Lamha Bhar Bhi,
Main Bohat Pehle Hi Us Ko Pukaar Leta Hoon.
Mujhe Siwa Us k Koi Bhi Kaam Nahi Soajhta,
Wo jo Bhi Karti Hai Main Sab Hisaab Leta Hoon.
Wo Sabhi Naaz Uthaati Hai Main jo Bhi Kehta Hoon,
Wo jo Bhi Kehta Hai Main Chupke Se Maan Leta Hoon...-
Kya Milan ki bela ko tarasne ke liye tha,,
Dil, shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha,,
Sehra mein paglo ki tarah naach raha hu,,
Fitrat se maiN baadal tha barasne ke liye tha,,
Rote hui ek bheed mere gird khadi thi,,
Shayad ye tamaasha mere hansne ke liye tha,,
Kuchh raat ka ehsaaN hai na suraj ka karam hai,,
Phool to bahar-haal Par siskane ke liye tha,,
Us raah se guzra hu jahaN saaNs na de Saath,,
Har Paamv ka patthar mere dasne ke liye tha,,
Har qatra meri aaNkh se bahne ko to tha betaab,,
Har zarra mere pamv jhulsne ke liye tha..-
Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hai Jagaya Mujh Ko.
Kya Saza Di Hai Mohabat Ne Khudaya Mujh Ko.
Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi.
Jane Kis Khaak Se Kudrat Ne Banaya Mujh Ko.
Dukh To Ye Hai K Zamane Mein Mile Gair Sabhi.
Jo Mila hai Wo Mila Ban Ke Paraya Mujh Ko.
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Rone Ko.
Ghar Ki Deewaron Ne Seene Se Lagaya Mujh Ko.
Yu To Umeed-E-Wafa Tum Se Nahi Hai Koi.
Phir Chiragon Ki Tarah Kis Ne Jalaya Mujh Ko.
Bewafa Zindagi Nai Jab Chod Diya Hai Tanha.
Mout Ne Payar Se Pehlu Mein Bithaya Mujh Ko.
Wo Diya Hu Jo Mohabbat Ne Jalaya Tha Kabhi.
Gum Ki Andhi Ne Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko.
Kaise BhoolunGa Tere Saath Guzare Lamhe.
Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko...-