Kuch ish tarha karwaat leti hai zindagi,
Kal jaha kitaabo ke boz Wale baste uthaya karte the,
Toh aaj hum zimmedariyo ke baste uthaya karte hai,
Fark bas itna sa hi raha ki baste toh wahi hai bas manjile kuch badal si gayi hai ....-
Zindagi ki kitaabo mey kuch ish tarha uljhe hum,
jane kab bachpan wala chapter khatam hua,aur zimmedariyo wali chapter shuru hogayi humey khabar hi naa lagi,
-
Aapni tasveero se yuh narazgi kis baat ki hai tumhe,
kabhi humari ankhoon se dekh liya karo,
Ishq mey naa Dubey toh humey baatla dena-
Woh Ishq hi kya jo muqambal ho,
Kabhi kabhi adhuri aashique bhi alag Mazza deti hai-
Woh Ishq hi kya jo pura ho,Mazza toh aksar ek tarfa Mohabbat bhi deti hai .....
-
Woh pyaar hi kya jo izhaar Kiya jaye,
Woh Raaz hi kya jo chupaya jaye,
Woh dard hi kya jo dikhaya Jaye,
Woh rishta hi kya jisse jataya jaye,-
Ishq mey hum kuch iss kadaar badnaam hue....
Kal jaha humari kamyaabi ke charche the,wahi aaj humari badnaami ke charche hai......-
Khamoshiyaan aksar kaafi kuch keh jati hai....
Jo baate juban nahi woh ankhe keh jati hai....-
Kuch mulakate bari haseen hua karti thi....
Yuh dabi hui nazro se nazre milana bhi kuch alag mazza deti thi.....
Alam toh ishq ka kuch iss qadar tha,ki guftagu ki chah toh unhe bhi hua karti thi.....
Kehne ko toh zubaan har kisike pass hota hai,par kuch lafz baya nahi karte....-
Aksar unki ankhon mey humey narazgi dikhti thi,jab humne wajha janna chaha....
Toh unhone kuch iss qadar kaha....
Kuch rishte zindagi mey kaafi khash hote hai....
Rehta hai har koi khush aksar,par kabhi kabhi apno se hi rutha hua rehta hai....
Kehne ko toh woh hote hai sath humare,par phir bhi kuch adhura sa hota hai.....
Muskura dete hai unke samne hum aksar,taki kuch galatfemi woh bhi rakhe apne dil par.....
-