Raees Rizwan Β  (#Ariz)
37 Followers Β· 35 Following

read more
Joined 24 April 2018


read more
Joined 24 April 2018
3 MAR 2019 AT 11:30

Kehdo in labo par ye khamoshi kaisi.. Gumnaam si ye farmaish kaisi..
Kuch toh ye azmaish si hai..
Phir bhi ek guzarish si hai..
Jo bhi ho anjaam, hum sehlenge.. Ansuon ke daagh bhi ro ro kar mitalenge..

-


2 MAR 2019 AT 19:37

Kasoor kya hai mera itna batado..
Labo pe jo talab hai uska pata do.. Nasha sa kyun duan duan hai..
Tere asar se gumnaam jahaan hai.. Arzoo bhi tere hone se beparwah hai..ishq ki Rawangi badi khushnuma hai.. Tere khayaal se hi ab jeena hua hai.. Kehdo tum bhi gar ye mohabbat hi aashna hai..

-


2 MAR 2019 AT 14:48

Tumhari zulfo ke saaye me rakhlo chupakar mujhko kabhi..
In ankhon me basalo khwaab sa mujhko kabhi..
arzoo ye adhoori hai.. deedar-e-husn se mukammal ho..
kabhi to tum bhi chaho mujhe.. jitni hasrat mujhme ho...

-


2 MAR 2019 AT 11:11

Teri palkon par ho naam mera..
dil me tere ho armaan mera..
aisi duaein rab se karta hun main... sajde hazaroon karta hun main..
uthte hain haath kuch maangne khuda se... toh tere naam ke alava kuch na kehta hun main..

-


27 FEB 2019 AT 21:21

Tere nishaan dhundun main har raaste bhulakar.. Kuch haseen pal jo bitaye saari duniya bhulakar.. Yaad hai wo din jisme mulaqaatein haseen thi.. Wo muskurahaton ka karwaan tha jisme me saari khushi thi.. Hasraton ki numaish ankhon me basi thi.. Wajah na pucho mujhse in ranjhishon ki.. Lafzo me nahi bayaan wo ajab si kasish thi..

-


27 FEB 2019 AT 20:29

Ye bechainiyaan ye bekarariyaan kyun hai.. Tumhare chehra ka hi ankhon par pehra kyun hai.. Har baat me tumhara ehsaas kyun hai.. Dharkano ko tumhara intezaar kyun hai.. Chup hai labh phir bhi ye alfaaz kyun hai.. Tez hai saasein phir bhi ghutan kyun hai..
Kehdo kya hoga hashar iss kahani ka.. Izhar e ishq hai ya gumnaan sa khumaar is baat ka..

-


24 DEC 2018 AT 11:05

Mehtaab sa tu noor bhar gaya..
Roshan har dil ka kona kargaya..
Qamar bhi aaj humse naraaz hai..
Deedar me tere ye aaj shab bhulgaya...

-


23 DEC 2018 AT 21:13

Alfaaz bhi gumnaam hai..
Badnaam iska anjaam hai..
Lekin jo bhi ye ehsaas hai..
Bayaan e mushkil is ka haal hai..
Kehne ko to ye izhaar hai..
Mohabbat ka ye aghaaz hai..
Chupalun tumhe main apne seene me...
Shayad dharkano ko tumhari pehchaan hai

-


10 DEC 2018 AT 9:53

Iss chehre se mere kayi sawaal hai..
Puchun dilse to wo bhi lajawaab hai.. Itni hasratein kyun hai tumse..
Itni uljhanein kyun hai is ishq me..
Izhaar to hai par ikraar kab hoga..
Ehsaas to hai par aitbaar kab hoga..

-


9 DEC 2018 AT 22:08

Ye shabb bhi tumhare khayaal me khoyi rahi..
Subah chehra dekha to roshan ye duniya hui..
Lafzo me nahi bayaan wo hasrat ho tum..
Pal pal badhti rahe aisi chahat ho tum

-


Fetching Raees Rizwan Quotes