Rachit Awasthi   (Tamas_Sanam)
6 Followers · 6 Following

read more
Joined 4 September 2019


read more
Joined 4 September 2019
12 MAR 2024 AT 5:38

De sako tum jitna bas utna sath dena
Nhi kahta tum zindagi bhar pass rhna,
Chhoti badi har mushkil me sath rahunga,
Par tum mausam-e-andaj ki tarh apne mijaj mat badalna,
Ha fir bhi kahta hu tum badalna badal jana
Par kuchh bhi raz mat rakhna,
kah kar dekhna or sari bat kahna
Dil me jo bhi ho mujhse har baat kahna
De sako jitna sath bas utna hi dene
Mai ye nhi kahta sirf mere pass rahna

Kabhi aye koi or pasand
Tum bekhauf uske pass rhna
Bas jitna ho dil me raj wo baat sirf mujhse kahna,
Tu khush ho tu khush rahna,
Phir ek akhari mulakat karna
Thoda pass baithna,jra or karib ana
mera hanth pakadna mujhe apni baat kahna
Mai chum lunga matha tera
Bas muskurakar mujhse har baat kahana
Bas de sako jitna sath tum utna hi dena
Me ye nhi kahata sirf mere pass rahna ...

-


1 DEC 2023 AT 12:11

Jhuthi Tasalliyan
Dard hai kya,ye koi or kha janta hai
Jis par gujarati hai sirf wahi janta hai
Bayan karu kise sab yha anjan hai
Or tasalliyon jhuthi ho to dil kha manta hai,

Samajhne or samjhane me wakt jaya q karu,
Likh kar fad du gam apne
Kisi or par q jaya kru
Kho kar sab kuchh tnha ho to chuka hu
Or tasalliyan jhuthi khud ko dene me q wakt jaya karu,

Muskura to rha hu logo k tasavvur k liye
Ro kar q logo ka tamasha banu
Jhuthi hamdardi se q khud ko samjhaya karu
Khud se khud ko jab sambhalna hi hai
To jhuthi tasalliyon se dil ko q manaya karu,

Irada karu ek wada karu
Khud ko hi khud se hasaya karu
Jana hai akela hi ye dil jab janata hai
Ye jhuthi tasalliyan hai
Or jab jhuthi ho tasalliyan to dil kha manta hai...,

-


13 OCT 2023 AT 19:12

Wakt nhi hai kahkar usne mujhse baten band kar di,
Kisi or se milne k khatir hmse mulakaten band kar di..

-


13 OCT 2023 AT 14:01

Inkar
Ki chalo tujhse n sahi
Me likh kar apne ishq ka ijhar karta hu
Ha me teri in shararti najron se pyar karta hu,
Magar ye baat sahi h ki tujhse kahne se drta hu
Mai tere inkar se drta hu,

Tere mathe ko chum ko apne ontho se ishq likhta hu,
Tere galon par apni ungaliyon se pyar likhta hu
Ha ye sach hai ki me kahane se drta hu
Ha Tere inkar se darta hu,

Mai teri awaj par marta hu
Tere gardan k pass tere kande ko jab me chumta hu,
Us pal ka mai intezar karta hu
Par ye sach hai mai kahne se drta hu
Ha tere inkar se drta hu

Tere sine par jab sir rakhta hu
Teri dhadkan ko sunta hu
Teri sanson se khud ki sonso ko jab job leta hu
Us pal ko mai karar likhta hu
Ha me tujhse ishq krta hu
Par tere inkar se darta hu.

Tere hatho ko chumta hu
Or teri kamar par jab mai hanth rkhta hu
Tujhe pasand nhi jab mai tere pairon ki baat karta hu
Sach kahu to tujhme hi me sumar rhta hu
Ha tujhse mai pyar karta hu
Bas tujhe ye kahne se drta hu
ha tere inkar se darta hu
Bas tere inkar se drta hu....

-


29 MAY 2023 AT 13:02

Ek tanha me apna wakt bitaunga,
Ek tum bas dur se gujar jana,
Kuchh adhure me apne alfaj likhunga,
Ek tum bas kahkar pagal gujar jana,
Mai bas muskura dunga
Ek thokar samajh kar
Ek tum bas samne kante bichhana,
Me hans kar unme apna sahar bsaunga,
Ek bas aag lagna,
Me apna sukun samjh use gale lagaunga...
Ek tum bas muskara dena,
Me apni ek gajal banunga...

-


26 MAY 2023 AT 19:10

Ek mera sawal hai bas tere aitaram ka,
Ek mera zawal bas akhari sam ka,
Ek darakht bas baithu tnha,
Ek tauhfa mera du kabar par salam ka.

Ki mutazir hai bas mere zawal ka,
Ek akhari fariyad par tere akhari sawal ka,
Malal bas itna sa rah gya,
Q me tanha tha or q me hissa bana har babal ka.

Tahzib se usne bas puchha hmse,
Ki kya hai din tere intekal ka,
Bas ek.ilzam or le ja jra ki kah saku,
Me fir wo gunahgar hai or gunahgar tha.

Ek ilteja bas maine fir se ki,
Meri akhari sans par meri muskan se,
Wo tanha n rhe mere baad bhi,
Ek yar unhe bhi mile par mile unhe mere yar sa...🙏🏻

-


20 MAY 2023 AT 15:24

Ki kab talak mubtala rahoge tum
Or kab talak mujhe sahoge tum
Or mat pao saza dard - e- mandi se
Ab to mujhse tang a jao tum,

Or mai kya hua ab to babal hua
Mera har charagar nidhal hua
Ki mujhe koi taklik-e-kaynat nhi
Or mai koi markaj-e-hayyat nhi,

Ha mera janaja bhi ab dhoom se nikale
Kya nikle jo gam k hujum se nikale
or mere janaje me ye shor hajir kiya jae
Ki jo tha nhi kbhi wo mar gya us shor me ek aisi baat bhi nikale...

-


18 APR 2023 AT 1:44

TALAB ISHQ KI

Or mukhtasar kar di sanse usne
ab khwabon par bhi usne apna hak kar liya,
or uske ishq ki talab aisi
mai sonchu kuchh or mere zahan me usne apna ghar kar liye,

or kya sunau apni kahani tumne,
unse mile kuchh lamho ne hme uska kayal kar diya,
tabassum unke jism ki meri sanson me kuchh yun basi,
or jism ko jo chhu liya, usne fika mera itar kar diya.

or badal diya kirdar Hmne
unko apne zahanshi kar liya
or paya jo unke labon ko apne labon par hmne us pal par apna basar kar liya,
or talab kya karu unke ishq ki, mukarrar unhe apna sanam kar liya,

or jahan tak hmse mumkin hua, utna hame sabar kar liya,
jo hajrat hamare amanat hai unki,
is hakikat par bhi hmane adab kar liya,
or talab kauchh aisa unki kari, beparwah unse ab ishq kar liya,

or ye aiyna nhi rakhta khabar bite pal ki
to tasviron me kaid har lamha kiya
or kuchh aisi lagi talab inke ishq ki,
ki tod di kalam likh kar unka name apne nam ke sath unhe apni mohabbat likh diya .....

-


13 MAR 2022 AT 8:54

N jane aj q wo ansuljhe alfaj liye baithe hai,
Kuchh dafan dil me kayi gahare raj liye baithe hai,
Manta hu ki mohabbat beinteha h unhe hmse,
Fir bhi n jane q wo pichhe kai gahre raj liye rhte hai,
Malal is baat ka nhi ki ham maraham n ban sake,
Unke jakhm bhi n jane kitne swal liye baithe...

-


4 FEB 2022 AT 15:07

N sahi dariya Tu mohabbat ka katra hi de apni chahat ka,. Ham bekhauf apni ruh tere naam kar denge.. 🙏🏻— % &

-


Fetching Rachit Awasthi Quotes