Nahi ban payega iss jag me koi tujh jaisa .....
Jo tera naam hai keshri tisa......
Chanchal si teri ankhe na jaane kitni dur tak jaati hai.....
Ithlati hui teri baate bachpan ki yaad dilati hai.....
Tujhe dekh kar bakiyo ke dil v hasti hai.....
Fir puchta hai dil khud se ke iss umra me kya khusi itni sasti hai....
Wo har bat ek raaz ban jaati hai....
Jab tu haste hue sharm se chehre ko chupati hai......
Na jane tu itni shararat kaha se laati hai....
Par har sararat ke piche sab ke hotho pe ek hasi chor jati hai.....
Ke teri khusi se pachpan ki umra v bachpan lagegi.....
Ankho ke samne se tu ho v jaye ojhal to iss dil ko hasane ke liye teri yadein rahegi.......-
Umra bhar har umra ka samman kar ...........
Mat dekh apna paraya , bas dusro ke liye aang daan kar........-
Grishma, varsha , seet , basant sari rutue to hai ani jaani ........
Jag ke liye kuch karna chaho to ban jao aang daani.......-
Har panne ko jaise kalam deti hai apni syahee ki kurbaneee....
Tum v dedo daan aang ka mat banna kav avimaneee......-
Insaan ke roop me iswar ban kar karo aang daan......
Fir tmhra tucchh sarir banega asahaya ke liye wardaan.....-
Kar diya tujhe add iss group me firse....
To apne kavitao ka silsila firse zari kardo....
Apne pantiyo me hum dosto ka zikra v bari bari kardo....-
Jindagi::
Kya hai tu jindagi samajh me an aye
Na mai tujhme samau , na tu mujhme samaye
Sikke ki tarah tu kav v palat Jaye
Kav chit bankar hasaye to kav pat hokar rulaye
Bat tujhme kya khas koi samajh na PAYE
Dil me ho sans jab tak bas tujhe jeeta chala Jaye
Hai tu aank(no.) Saman par tujhe koi geen na PAYE
Chidiya tu sone ki ,Teri keemat kaun lagaye
Na koi aisa jagme Jo Teri raah dikhaye
Hatho ki rekhaye tedhi, tujhse hai sharmaye
Jindagi na Teri na meri bas kuch pal sanso KO shahlaye
Ye to bas ek gulam samay ka, kab aye aur kab chali Jaye.
Kya hai tu jindagi................
-