ankh band hote hi, khul gayi ankhe,
sharm k ansuo se, dhul gayi ankhe..
hmesha dekha duniya ko, dunyabi nazr se,
duniya sirf itni si dikhi, jab dekha qabr se..-
wo tukde kar rha mere,
mai sirf, chun rha hu...
jab waqt aaega, bolunga,
filhaal, mai sirf, sun rha hu.-
has k baat sab se, salaam sabko karta hu..
jo, jo de sakta hai, usse, wahi tawaqqo krta hu.-
jab apka dil kisi ko pinjra lagne lage,
to use aazaad kr dena hi behtar hai...-
khabardaar itne k, duniya ki khabar hai..
bekhabar itne k, apne ghar ki khabar nahi...-
bure log bhi, ache dikhte hai yaha..
yaha, acha hokar bhi, acha dikh nahi paya..
ek pal me lagta hai, sab kuch likh diya maine..
ek pal me lagta hai,"kuch likh nahi paya".-
dekha dekha sa lagta hai, wo shaks mjhko,
jab bhi aaene me dikhta hai, mera aks mjhko..-
jinki dawa nahi, la-ilaaj hai,
kuch aisi bemaariya..
maut mangna bhi munasib nahi,
farz aur zimmedariya..
-
khamosh kaise rehna hai,
seekhti rehti hai..
uski cheekhe, uske andar,
cheekhti rehti hai...-