Woh wahi baat wahi baat kahe jata hai
Dil ko har bar har bar asar kar jata hai
Dil me rhkar bhi rahe anjan ajnabi hum
Uska kya hai kaha rehta hai kidhar jata hai-
Zindagi muhaal thi, muhaal zindagi bhar rahi
Maut bhi to kuch kam sitam gar nah Rahi-
Gulon Me Aftab Ki
Tasveer Ho Tum
Ek Behatreen Khaab Ki
Tabeer Ho Tum
Na Mumkin Se Guman Ki
Haqiqat Ho Tum
Bahut khoobsurat ho Tum-
Kuch Is Trah Se Zalim Ne Humko Begana Kiya
Humko Hami Se Chheen kar, Na Apna Kiya Na Paraya Kiya-
Ke kar Saku Tujhse Shikayat kabhi Kahi
Ae Zindagi Tune Kbhi, Fursat Hi Di Nahi-
Mujhko Wo Mai, Mai Nahi Samajhta
Akhir Khudko Wo Samajhta Kya Hai
Mumkin Nahi Yaksa Si Haqdaari Jisme
Wo Rishta Akhir, Rishta Kya hai-
Mujhko Tanha Karna,
Beshak Tanha Karna Tum
Ho Sake Gar Mujhko Zara,
Akhir Tak To Padhna Tum-
Khud Likhi Ghazle Bhi
Mai Ab Bhool Jata Hu
Tere Siva Kuch Bhi
To Yaad Nahi Rahta-
Zakhm Purane Se Hai
Dard Utna Hi Hai
Hu Munasib Haal Magar
Marz Utna Hi Hai-
Har Ek Bat Se Kya Kya Nah!
Samjh Lete Ho Tum ?
Tumne Samjha Hai Kya,
Kya Humne Samjha Hai Tumhe?-