डर लगती है उन रिश्तों से अब ...
जिनके टूट जाने का खौफ़ था,
इल्म तक नही अब उनका ख़्वाबों में मेरे,
जिनके इंतज़ार का हमे शौख था ।-
Mohhabat me to ilm hoti hai fida hone ki,
Ishq me koi rasm hai kya juda hone ki,
Agar haqikat hi hai is julm ki saza to phir sahi...
Waqt hogya hai ab khawabo se alvida hone ki.-
Dil jawa kya hua ishq meharbaan ho gya..
Aashiq hum bane aur katal humara ho gya..
Aarzu jagi anjani aur waqt tanhaiyo sa gawara ho gya..
anth ye hua mohhabat ne kaha ja tu jeete ji maut ko pyara ho gya...-
Mitti me mehak hai pr mausam nhi meherbaan,
Man ke raahein suni padi aur dil ki galiya veeraan,
Dhak dhak hai dhadkan me ajeeb aur chahat anjaan,
Zindagi shant ho rhi ya aane wala hai koi toofaan ?-
Waqt se haar rhe the hum,
Na aankho me nind thi na nindo me khawab...
Khud me pareshaan aur umeedon se bejaan,
kai manjil thi saamne aur raahein anjaan...
Pr kismat ki meharbani dekhi,
sb sach saamne aur saare chehre benakab...
Ab sapno me hai himmat aur himmat se jaan,
daale ab apne haath me apna hath chale jeetne hum pura jahan...-
Apne to samjhte hh gairon ko samjhana hai.. kuchh bolna nhi hai ab krke dikhana hai..
-
Sansein meri khusbu se teri aaj bhi machalti hai,
Dhadkan meri aahat se teri aaj bhi dhadhakti hai,
Khawab mere ishq se teri aaj bhi ithlati hai,
Tumhari kami is dil ko aaj bhi khalti hai...
Dheere dheere shaam jab dhalti hai,
Tumhare yadein hawa ban mere har taraf chalti hai,
Tanhai me tanha meri himmat girti aur sambhalti hai,
Tumhari kami is dil ko aaj bhi khalti hai...-
Aag jo umeedon pe lage the,
Aur dil jal rha tha....
Tute bikhde chur pade the,
Par sans chal rha tha...-
Haqiqat se mille to khawab tut se gaye,
Khawab se mille to haqiqat chhut se gye,
Dil hi dil me badlao kuch yun hua is karan,
Hothon se muskaan looti aur khushiya sare ruth se gye.-
Dil mein hui thi hulchul aur aankhein nam the...
Dard behisaab the aur dawayein kum the...
Khusiyaa ruthi thi aur charo taraf gam the...
Mehfil me baithe woh sabke beech aur akele hum the...-