Priyvrat Dwivedi Ā  (Priyvrat dwivedi)
102 Followers Ā· 94 Following

read more
Joined 27 May 2019


read more
Joined 27 May 2019
26 NOV 2022 AT 23:49

Ye raat ...
Raat ka matlab jante ho ????
Geele Gaal Bhige Takiye
Ek kamre ka Jalta Bujhta Bulb hai Raat
Bebas Ankhon me toote sapne
Aur aansoo ki Barsaat hai Raat

-


11 MAR 2022 AT 23:52

Us se to khair ab baat nhi hoti
Khud se bhi ab mulakaat nhi hoti
Ye jheele tarasti hain paani ko
In ankhon se ab barsaat nhi hoti

-


8 FEB 2022 AT 0:53

Kisi ke hathon me gulaab ayega
Kisi ki ankho me sailaab ayega
Ye maheena farvari ka hai mere dost
Isi maheene
Ishq me inquilaab ayega

-


8 FEB 2022 AT 0:38

Mohabbat ka bazaar tez hai
Aajkal
Ki ab log ishq ki boliyan lagayenge
Kuch log jeet jayenge jhooti mohabbat
Aur kuch toote hue dil khamosh ho jayenge

-


24 DEC 2021 AT 20:11

jane kiske hisse ayengi ye teri pyari batein
Ham to ab tanha hi katenge ye kaali ratein
Jane kab niklengi is tan se saansein
Ab to jo bhi hai bas teri hi Yadein

-


24 DEC 2021 AT 20:04

Zimmedariyon me ulajhkar rah gaya mai
Warna tujhe mohabbat ki had bata kar jata
So jata fir chain se kabr me
Aur ta-umr ke liye tujhe jaga kar jata

-


24 DEC 2021 AT 19:59

Mujhse milta bhi hai aur jism ki sarhad paar nhi karta
Ae dost yaani tu bhi mujhse saccha pyaar nhi karta

Lines by--- Tahzeeb haafi

Zism hi wo paimana hai jispe mohabbat sabit hoti hai
Sirf baatein ho to log aksar chor diya karte hain

-


17 DEC 2021 AT 18:06

Shahar bhar ki ameeri ne chaand ko tanha kar diya
Mere Gaon me to chaand taro sang rhta tha

-


17 DEC 2021 AT 0:04

Koi to hoga jo ishq se hara hoga
Kisi ko meri tarah hi gurbat ne mara hoga
Haar gayi hogi mohabbat
Toota hoga dil
Khuda bhi ro pada hoga
Kuch is tarah se usne ro ke
Aakhiri baar puukara hoga
šŸ«‚šŸ«‚šŸ«‚

-


9 DEC 2021 AT 14:11

Ho sitam ki imtehaan to koi mar nhi jata
Har toota hua aashiq maikado ke dar nhi jata
Kabse sambhaal rakhi hai tasvir toote dil me
Zamana kahta toota dil bikhar kyu nhi jata
Teri badsalooki saboot hai teri bewafai ki
Is mohabbat me doobe hue dil ko hosh magar nhi ata

-


Fetching Priyvrat Dwivedi Quotes