Death is one time suffering but all time suffering is life
-
writing is love and peace🔱💫
Marne ke baad ki jannat ka yakeen karna mushkil hai qki mujhe toh jeet-e-jee jannat dekhni hai
-
Kabhi pahado se mile ho ?
Zaroor mile hogey
Pr nazariye se bahot kam
Maine ek bade akaar vaale ghane baadal ko samay ke sath machlte dekha hai fir usey bikharte dekha hai uss he nile asmaan me
Maine hawaa ko zorro se sun-sunaate suna hai, shor banate huye disha badlte huye uss he chattan ke dusre chhor pr
Maine jharno us jharne ke paas baith ke ek tassalli bhari sirf coffee he nahi pi lekin sath baith ke uss shor ko kaano se guzrte huye aatma se milte huye dekha
Har pahaad pr rehne vaala pahadi he hai pr shehro me dur jaake basey hum .....yaar hum bhi ek pahadi hain yaad aati hai vahan ki ❤️-
Hazaar sawaal uthata ye mann, bawaal sa ban jaata ye sunn
Kissey toh bahot the mann me, pr bahot dafe bhool jaata ye mann, gungunata geet anjaane ye sunn
Behra hai, behaal hai, buddhi nahi ya kamaal hai ye mann, naa he bheetar kuchh bacha hai naa he baahar ye sunn
Ziddi hai, kaccha hai, pakka bhi baccha ye mann har rang me bheega kam aansuo me jyada ye sunn-
Hum Safar me kitni he aagey chale jaayein
Kahan se shuruwaat ki thi yaad rakhna padhta hai-
ना वो राहें मेरी, ना वो मंज़िल
ना वो अतीत मेरा, ना वो काफिर जो साथ था
मेरा तो है ये पूरा का पूरा सफ़र ही
और इस सफ़र में ना कोई हमसफ़र ही-
Ye hataash mann baitha hai baatein banaane
Pooche khud se kya baat pr aaj behes chheri jaaye
Awaaz itne aaj yaha se aayi ki hum deewane apni dhunn me baatein bhi khud ki khud se aur behes bhi khud he ki chheri jaaye-
Doing, doing my karma and
Going my journey
Life is so hard, with beautiful hopes around.
Just don't give up there, your goals in one life are here.
Inner soul says.-