Yun to har lakir hathon me nahi hoti ,
Par kya ek lakir uske naam ki ,
mere hathon me ap de sakte he Mahadev??-
Aaj phir woh hawaon ki mehek chu gayi,
Us suhane safar me saathi bane rasto ki yad aa gayi,
Jiske ek taraf kahin jhil aur phaware the
To dusri taraf kahin ped aur hariyali khet the,
Safar jiski manzil ghar ke char diware he,
Jahan maa ankhe bichaye intezar kar rahi he,
Aur baba chupchap un darwazo ko asha liye nihar rahe he!!
Par kash ki me bhi un Chand logo me ek hoti,
jo aj saman bandhe 2 din ke liye hi sahi ghar ki yad me nahi ,
ghar me din bitane ke liye rawana ho pati!!
-
Aksar chasma laga ke so jane ki adat he mujhe,
Kya tum ise nikal ke table pe rakh dene ki adat banoge??-
A love just like sun and stars where Sun always sets to pave a way
for the stars to shine and
Stars always hide so that the
sun can riseโจ๐-
Agar pinjre se nikal kar bhi ud na sake,
To kya hi fayda us azadi ka jiske liye humesa se tadapte rahe tum!
Agar pinjre se nikal kar bhi chup gaye kisi ped ki dali me,
To kya hi fayda us mehnat ka jo itne barso karte rahe tum!
Agar pinjre se nikal kar bhi tum bhar na sake apni pankho se unchi udan,
To kya hi fayda un sapno ka jise apni khuli aankho se har roz dekhte rahe tum,
Agar pinjre se nikal kar bhi wapas aa gaye usi kone me jahan se kavi surwat ki thi ,
To kya hi fayda us asman ka jise dekh ke har roz use pa lene ki chah rakhte rahe tum!!
-
Jaruri he kuch chizon ka khatam hona taki kuch nayi chiz ki shuruwat ho, jese ki suraj dhalta he agle din phir ek nayi umid ka savera lane!!โ % &
-
Thi jo thodi si kasak,
Aaj wo bhi tut gayi..
Raste to bohot pehle hi alag ho gaye the,
Aaj kahaniyan bhi alag ho gayi..
Mud ke na dekhnenge un pano ko,
Ki ab to kalin bhi keh uthi,
Beh jane do unn hisso ko...
โ % &-
Socha tha hazaron kisse hongi,
Na khatam hone wali kahaniyan hongi,
Lekin hume kahan pata tha
Ki aaj phir apke aur mere darmiyaan
Sirf khamosiyaan hongi...โ % &-
Itni ardas apse he bhole bhandari , koi ardas asi na karun jo mera na ho๐๐ปโ % &
-
Sometimes success means taking a break from everything and focussing on health, healing from inner battles, pursuing your hobbies, doing things that make you happy, avoiding people and prioritizing yourself. It's not always about clearing exams, getting a job, getting married , having babies!
Unpopular??But yes it is!!-