Bahut kam Umar me ghar se nikal pada tha mai
Kuch chize dekhi kuch chuth gaya mujhse
Koshish to sab ko sath rakh k chalne ki thi
Fir bhi wo saathi ruth gaya mujhse
Sambhal k hi rakhe the kadam jab bhi badhna chaha aage
Seeshe ki deewar thi tut gaya mujhse-
Par nikle uske to apna ashiyana bhul gaya
Chand log naye kya mile wo purana bhul gaya
Haan mila hai sahi shaqs se jab se wo
Usi me khoya rehta hai sara zamana bhul gaya
Kadar hui use jab se apne hunar ki
Akad k chalta hai wo sir jhukana bhul gaya-
Mukammal na hua to kya hua
Koshish to ki thi irada bhi tha
Kaise na aate un galiyon me hum
Tum chat pe aayi thi or pukara bhi tha
Kamyabi to aani hi hai, uski fikar nahi ab
Ek to hum kabil or Ek tumhara sahara bhi tha-
Itne nakhre ab na mere yar kar
Tu to aankh moond le apni aur bas pyar kar
Nikal pade hai ek naye safar me hum dono
Chod ye baki baatein aa mujhe tayar kar
Haan nahi kehta jo dil me hota hai aksar mai zabaan se
Par tu hi hai mera sab kuch mujh pe aitbar kar
Tu to aankh moond le apni or bas pyar kar-
Sunta nahi ye dil ab or koi meri yet baat
Tumhara ban ke reh gaya ye hamara kam hai
Or wo kehti hai k bol ke samjhao har bat use
Mai bolta bolta thak gaya k kya ye ishara kam hai
Itna baithe hain saari saari raaton me hum akele
Pehchan lete hai k aasman me Ek sitara kam hai-
Jinhone di shahadat thoda unhe bhi yad kar lo
Aashiqui chahe Karo kisi se vatan se bhi pyar kar lo
Zyada kuch nahi maangta tumse ye mulk
Bas Tiranga dikhe jab jab jhuk k salaam kar lo-
Mohabbat chupaye baitha tha kayi arse se main
In gaddar aankhon ne aj sab keh dia
Kuch to jal raha tha sheher me par khabar kisi ko na thi
In bujhti hui raakhon ne aj sab keh dia
Charo taraf ki roshni kuch bayan na kar payi
Un beetein huyi raaton ne aj sab keh dia
Or tu bhi thi jo ishq ka izhar karne me kabse hichak rahi thi
Teri saheliyon ki baaton ne aj sab keh dia-
Na pata kaha jaana ho
To Teri dehleez dekh leta hoon
Chup baithe bas yun muskurana ho
To Teri tasveer dekh leta hoon-
Tezi se nikal rahi hai zindagi
Dua hai ki ye waqt barkarar rahe
Aage hi badhna hai ab peeche nahi palatna
Mai to tayaar hoon, wo bhi tayaar rahe-
Zara hath to pakdo zara hal to dekho
Kahi mujhe bukhaar to nahi
Sab chize achi achi kyu lag rahi hai ajkal
Kahin ye pyar to nahi-