Tum mujhe phirse pahli mulakat ki tarah Milo na....
Phirse dekho meri ankhon main or kho jao unme hi khi,
Baatein thodi Kam hongi
Kuch pal khamoshi Mai Milo na...
Tum mujhe phirse pahli mulakat ki tarah Milo na....
Phirse thamo hath mera,
Phirse meri ungliyon se khelo na
Kuch pal hath pakad kar baitho na
Tum mujhe phirse pahli mulakat ki tarah Milo na....
Phirse mere kareeb aakar apna ehsaas dilao na
Karni hai baatein bhut si tumse
Thodi der baithkr mere jazbaat sun jao na...
-
Keh du tumhe to meri baatein manoge kya..
Meri saari ichaye bina kahe puri kr paoge kya..
Or jitna mai samjh rhi hu tumhe utna tum bhi samjh paoge kya... — % &-
Tumpr gussa krke
Tumse or pyar ho jata hai...
Nhi pta ki tumse itni shikayat hai
Tbhi itni mohabbat kyu hai ??-
Mukaddar ne khel jo bhi khela ho
Jeet kisi ki bhi hui ho,
Haar to bs humari hui hai
Khud se to hum hi ruthe hai....-
Maan leti tumhari har baat
Tum ankho mai ankhe mila kr
Sach kehte to....-
Mere har hisse
Har kisse mai tum ho
Pr tumhare kisi hisse mai
Mai khi nhi hu...-
There is no ending in love,
Love increases day by day
It is unlimited and unconditional
If i say love is something that makes you Feel better even in worse conditions....-
Aye mere yaar tu aise mt baith ab,
Uth ab chalna hi hu hoga,
Sabse ab khud ke liye ladna hi hoga...
Dekhe the jo sapne humne kbhi raat main,
Hume ab ankhe kholna hi hoga
Un sapno ke liye ab jagna hi hoga
Aye yaar uth ab chalna hi hoga...
Muskile har roj humari raah mai aati hi rhengi,
Kbhi girayegi ,kabhi rasta bhulayegi,
Lekin hume uth kr khade hona hi hoga,
Aye yr uth ab chalna hi hoga..
Darte nhi the jaise bachpan mai kbhi
Jaise haste the khulkr kbhi
Phirse hume hasna hi hoga
Aye yr uth ab chalna hi hoga.....
-
Baat krte hai sab equality ki kya sab sach mai ek hai kya ?
Ladke ladki ek hai kya ?
Waqt to badla lekin aaj bhi
Na badle halat kahi...
Kahi tut rhi hai ladkiyo ki sapno ki dor kahi,
Kahi aaj bhi ho rhi hai kachi umr mai jawaan kayi,
Kahi badh gyi hai aage to kahi piche hi khichti ja rhi hai,
Kahi prem mai fas kr mit ti hai to kahi jism ke bandhan mai...
Baat krte hai sab equality ki kya sab sach mai ek hai kya ?
Ladke ladki ek hai kya?-
Manti hu ki ladke bhi bhut kuch sehte hai,
Phir bhi kahungi ladkiyo se kam hi sehte hai,
Wo to kr skte hai gussa , bhag sakte hai , wapas bhi aa sakte hai or pta hai sabse badi baat kya hai, unhe ishke liye kisi ke sawalo ke jawab nhi dene pdte....
Haan kyuki whi aage chal kr saari jimmedariya uthate hai
Haan ladkiyo ka role kya hai phir
Koi to samjhau,
Hum to bs ek jariya hai unki khawaisho ko pura krne ka bs itna hi role hai..
Waqt badla hai aaj ldkiya apne faisle khud leti hai bina kisi pr depend huye zindagi jeeti hai...
Phir bhi ye society kehti hai ki ladko ke bina kaha kuch hota hai..
To mai kahungi un kuch ladko se ki ladkiyo ko jyada kuch nhi bs thodi izzat or saath chahiye ishse jyada kuch bhi nhi...
-