preeti ravi   (Preeti)
1 Followers · 1 Following

Joined 19 August 2020


Joined 19 August 2020
25 APR AT 22:34

Aur fir huya kuch yun ki usko khone ke baad maine zindagi me kuch khoya hi nahi, woh ek laauta shakhs mera sabse bada nuksaan ban gya.

-


18 APR AT 2:24

Zindagi jab bechainiyo me gujar rahi toh yakin maano sukoon bhi tumhe bs wahi milega jo un bechainiyo ki wajah hain.

-


16 APR AT 22:33

Kar sako kuch agar to bs duwa itni krna ki meri jaan bhi usi din nikle jis din tere dil se hum nikle.

-


16 APR AT 22:29

Main apni kahaniyo mein tera wajood dhundhti hoon. Haan main tere hisse ke aamsan mein apne liye jamin dhundhti hoon.

-


14 DEC 2023 AT 14:59

Main apni kahani me tumhe zindagi ki wo aakhiri "KHUSHI"likhungi, Jo dur ho kar hi sahi thodi to mujhe bhi mile. ❤

-


8 DEC 2023 AT 17:42

Rehta h dil ke kisi kone me taaumar kahi na kahi, ishq wo jo naseeb me nhi hota

-


6 DEC 2023 AT 19:34

Ek taraf hai tujhse gale lagkr khamosh rehna.
Duniya bhar ke sath hasna rona ek taraf
Ek taraf bs tu or main duniya bhar ka jaadu tona ek taraf.

-


5 OCT 2023 AT 16:54

Tum chahe kisi ke sath raho fark nhi padta mujhe, bs jb tum mere sath raho mere pas raho to pure mere rehna and than I love you more than my limits!!

-


6 JUL 2023 AT 14:31

Suna hai maine aisa ki saawan me Jo maango mahadev se wo dete jarur hai, to Ijjajat ho agar tumhari to tumhe maang lu main agle janam ke liye, kyuki is janam to tum kisi or ke hona.

-


15 MAR 2023 AT 11:29

Haan Maan liya ki Maine kabhi jaahir nahi kiya, lekin sach to yeh bhi hai ki tujhe chahna Mera kabhi jhuth nahi tha.

-


Fetching preeti ravi Quotes