Kabhi- kabhi na khud per he gussa ata hai Ki jab pata hai ki samne wale ko Koi fark he nahi parta mujhse Meri batoon se Fir bhi ummeed lagaye bathi hoon Ki jab samajh jayega mujhe To khud wapas ajayega
Darr lagta hain ab bharosa karne se Haan kafi koshish ki Shayad kafi na raha Per andar se tuta hua insan Akhir kab tak koshish kare Khud ke liye jo na lad saka Wo dusron ke liye kaise lade ? Ab thakaan kafi hai Ruk Jana he bhala lagta hai Saath na mila aur Na milne ki ummeed hai Akhir koi akela kab tak chale?
Ansu kyun hai tumhari akhon me Afat kya hai bata ? Hum tere sathi hai har dum Afat kya hai bata ? Sunenge teri pareshani ko Afat kya hai bata ? Dara sa kyun hai tu Afat kya hai bata ? Raat adhi beechuki ,aadhi shuru hai Afat kya hai bata ? Haar gaya kya zindagi se itni jaldi Afat kya hai bata ? Kyun der se aai nind tujhe ,kya chinta Afat kya hai bata ?
Pyaar ka sahi matlab Tabhi samjh ata hai Jab koi humse Beinthan pyaar karta ho Khudse bhi jyada Bewajah khayal rakhe bina kisi ummeed ke Apki taqleef bin bole samjh jaye Aur ek din Bina apse koi bhi shikayat kiye Apko hamesha ke liye Chhor jaye 'AKELA' Apni yaadein de jaye Har waqt apke pass hone ka ehsaas Wo ab bhi apka dhyan rakhe Yahi pyaar hai