Muskurakar kehte hai humse woh
Ki bahut pyaar tha tumse,par ab na raha
Maano dil bhi gaya haathon se
Aur haathon mei unka haath bhi na raha-
Hai dil ek qabar mera,teri yaadein laash usme
Hai qismat kharab meri,tu hota hi na kaash usme-
Khuda se dua kare bhi toh kya kare
Tu bas takleef mei hi mere paas aata hai-
Likha tha jisne meri taqdeer mei tujhe
Woh khudgarz tha koi,khuda toh nahi
Kiya tha jisne dil se pyaar mujhe
Woh veham tha koi,aap toh nahi-
Na chal paata hu ek qadam bhi inmei ulajhkar
Ye Teri zulfein hai ya pyaar bhari zanjeer hai
Qatal kar deti hai jo ek hi jhalak mei
Ye teri aankhein hai ya marham se bhara koi teer hai
Jo teri meherbaani hai mere bikhre hue dil par
Ye teri dillagi hai ya khoobsurat meri taqdeer hai
-
Suna hai meri aankhon jaisa koi shaks aaya hai
Suna hai sheher mei sawan aaya hai-
Kahi zamane ki nazar na lag jaye unhe
Ae khuda tune jannat ki hoor ko iss jahaan mei kyu basaya
Kahi khud ki hi nazar na lag jaye unhe
Ae khuda tune deedar ke liye sheesha kyu banaya-
Kitna dard diya hoga jahaan ne usse
Jo iss duniya se jaate hue bhi muskura raha hoga-
Agar mere dukh mei saath hai vo toh
Mai dukh ko jannat ka dusra naam maan lu
Agar duniya ko gawara nahi hai vo toh
Mai saari duniya ko apna dushman maan lu
Agar mere naseebon mei nahi hai vo toh
Mai khud ko ek badnaseeb maan lu
Agar meri shayari padhke muskura de vo toh
mai khud ko ghalib se behtar maan lu
-