Ek shayari likhi hai,
Kabhi milogi toh sunaunga
Teri sirat saaf shishe ki tarah,
Mere daaman mein daag hazaaron hain
Tu nayab kisi patthar ki tarah,
Mera uthna baithna bazaaron mein hain
Teri maujudgi ka aitbaar kar bhi lu,
Jab hoga tu rubaruu, main apne jazbaat kahan chupaungaa
Ek shayari likhi hain,
Kabhi milogi toh sunaunga.
Ek umar leke aana,
Main khali kitabein le aunga
Tod ke laane k waade ni,
Main apni kalam se sitaare sajaunga
Iss zameen pe koi khaas h ni mera,
Agar tu ekbaar qubool karle main apne gawaahon ko aasmaan se bulaunga
Ek shayari likhi hain,
Kabhi milogi toh sunaunga. . . .
-
Kuch iss tarah jiya zindagi humne,
Thora sabar karke, thora bardaash karke aur bahut saara nazarandazz karke-
Unse kehna kismat pe itna naaz na kare,
Humne baarish mein bhi jalte hue makaan dekhe hain-
Socha tha tumhe khat
likhunga
Par kehte hain khaton ke
aakhir me "tumhari"
likhne ki rivayat hai. .
-
Ishq agar yuhi mukammal ho jae,
To chahat kis baat ki rahegi . . .-
Ab gairo se kya shikayat kare,
Siyasat toh yahan apne bhi karte hain
Ishq toh bas chand dino ka tha,
Par nibhane se toh purane rishtey bhi darte hain. . .-
Your past prepares you for your future,
It never predicts it. . .-
Everything you love will probably be lost
But in the end,
Love will return in another way. . .-
Some poems don't always rhyme, some stories are not always perfect,
But that doesn't make them deficient or something less.
They are beautiful in their imperfections, complete in their uneven fragments and flawless while being broken. . .-