Yeh jo chaar log hai, woh hazaar baatein karte hai,
Tum kyu fikar karte ho, yeh bekaar baatein karte hai,
Woh tho tum ho hi itne lajawab, jo yeh kisi na kisi bahane se tumhe yaad karte hai...-
DOB: 18 July
Born and lives in Hyderabad,
Roots b... read more
Agar phool mile Gulaab ka tho, ishq jatane chali aana,
Jo mile Champa Chameli tho, raston ko mehakati aana,
Aur mil jaye Genda agar tho, saja lena ghar apna,
Kamal aur Gudhel mile tho prabhu ko arpit karti aana,
Mogre ko laga balon mein, tum sajj sawar ke aa jana,
Haath mein Surajmukhi liye tho mujhse milne chali aana...
-
Chal pada hun safar pe,
Jeb mein kuch phool liye,
Katein kai hai rahon mein,
Aur manzil kaafi dur hai,
Humko aage badte jana hai,
Bus inn phoolon ka sahara hai,
Yeh phool waise hai kya?
Saathi hai, sahara hai, mujhse jo bichad gaya tha woh yaara hai...-
Ab tho Chaandi dikhne lagi hai balon me,
Silvate padne lagi hai galon me,
Inn nazaron ko aaj bhi uska intezar hai,
Jo yeh keh ke gaya ki abhi aa raha hun me...-
Summer Mornings
Early mornings in summer feel so nice,
The cool and calmness soothes my soul before the sunrise,
It prepares me for the heat and chaos that lies ahead,
As I watch the rising sun turn the blue sky red....
-
Usse dekh leta hun tho sab bhool jata hun,
Jab sab bhool jata hun tho usse dekh leta hun...
-
Log pyaar mein hisaab rakhte hai,
Aur fir kehte hai ki saccha pyaar nahi mila...-
Mohabbat mein uski woh shiddat nahi hai,
Isi liye humse Milne ki unko koi hasrat nahi hai...-
Dekho shukravaar aaya,
Rango ki bahaar laya,
Gujiya aur gulaal laya,
Milne mera yaar aaya,
Holi ka tyohar aaya....-
Samay,
Bada balwan,
Nirantar chalta jaye,
Sabko apna das baye,
Apni ungali pe sabko nachaye,
Kuch aise yeh apna bal dikhaye...-