Prateek Arora   (Kariim)
54 Followers · 133 Following

read more
Joined 4 November 2020


read more
Joined 4 November 2020
26 APR 2022 AT 21:05

Jab jhoothe abr se baraste lafzo par bhi yakiin tha, aur ab haqiiqat-aagaah par haasii aati hai jo mujhe palo ki aap-biitii bayaan karte hai. Ab tasavvur karta hu channd ghadiyo ki bandish-e-mohabbat main kaid mere dil ka kya haal hua hoga kariim, jo ab alfaaz mere gairo ke tanha manzar mein dil-o-sukoon se unse ishq jatate hai.

-


7 APR 2022 AT 21:24

Bewafayi ke sabab se, ki kashmakash sau hai bayaan-e-ishq main, Zaruri nahi har baat mukhtasar si ho. Vo dard hi kaisa jo Jism par zakhm-e-bagawat sa mehsus na ho aur har marham uspar be-asar hi ho. Chandd lafzo main siskiya sunayi nahi deti gairo ko aur kehte hai bhari mehfil main nazre jhuka kar ki kyu mayus ho.

-


7 APR 2022 AT 9:59

Shab-o-roz ek tishnagi si rehti hai unke ehsaas ki. Haaye tanhaayi ka sabab kya bayaan kare ki har yaad dafn hai zehen main ek raaz si. Chashm-rasiida huyi lagti hai meri zindagi main mohabbat, jaha izhaar-e-ishq nahi vaha kaisi qurbat.

-


24 MAR 2022 AT 9:50

Ussi rahguzar par jaha chand roz guft-gu ke liye ruka karte the, fir unhi kuncho se guzarte hai jaha khuda ke dar pe ruk humare sar jhuka karte the. Aao kabhi firse vo purani shaam hum dubara jee lete hai, ashk bahe humare bhi ki unhe chai ki chuskiyo main ghol pii lete hai.

-


8 MAR 2022 AT 0:00

Fire and ice; as they are supposed to be maintaining a safe distance. If comes too close then earthly souls doubts its existence. Its tough for fire to let out the fear of loosing the spark, and its scary for ice of changing its state. But atlast its meant that way and its the bitter truth and an unusual fate.

-


7 MAR 2022 AT 23:51

I visit all those places where we embedded our memories on the bench, where you rested your head on my chest in the rain while i covered you with my trench. I still remember the fragrance of the burning tobacco you blew out of your lips, i wonder if i could held on to the moments a little more but i am loosing my fist and letting all slip with uncounted scotch sips.

-


7 MAR 2022 AT 23:41

kuch sukoon se soye hum, kaha tanha chaand se ki guft-gu ke saath kuch jaam-e-gham liye kal fir aaunga, thak gayi hai nazrein ashk bahate bahate ki vo mah-o-saal shab-o-roz barsaat mein khoob roye hum. Ab jo jaldi aajate ho lutf-e-khayal sunne toh main bhi suna diya karta hu, ki kab vo visal-e-amaavas ajaaye ye soch kar kha-m-kha darta hu.

-


3 MAR 2022 AT 10:15

Ishq mujhe bhi tha lekin fir sochta hu kyu kha-m-kha lafzo se jazbato ka bawaal karu. Ab jo tum vida le hi rahe ho toh kyu tumhare rukh ko yaad kar khyaal karu. Karz tumhari mohabbat ka bhi main chuka raha hu, aise main khudse wafa nibhakar aisa shaks kyu na khoju jo saath nibhane se na dare.

-


1 MAR 2022 AT 20:24

Kahi kho gayi sii lagti hai iss daur-e-bewafayi main "kariim", jo har koi dil par lage ehsaas ke taale ko todne main masruf rehta hai. Puche jo inse ki do harf mohabbat ke bol kyu na jaan lete, ki ishq ki dhaatu toh khuda har rooh ko deta hai, toh kehte hai yaha har shaks apne zehen main yuhi tajurbe ke khatir zulm sehta hai.

-


1 MAR 2022 AT 20:08

Main jiye toh jaa raha hu, lekin pehle jaise vaqt beet jate khabar nahi thi aaj vo pal bhout der lagate hai. Khwaab jo palke band kar dekhta tha tumhare saath hone ke ehsaas ke saath, aaj kal har raat mujhe tanha kar jagate hai.

-


Fetching Prateek Arora Quotes