Ik umr lag gayi humain, tumhain apna banane main...
Ik pal bhi na laga tumhe , sab kuch bhulaane main..-
Shayad k utar jaae tere dil main meri baat ..... read more
Ab ki baar kuch yun mohabbat ki jae...
Na haq jataya jae,Na khuwahish ki jae..-
Intezaar,mohabbat, nafrat sab kar liya tumne...
AETBAAR se tumhari koi zaati dushmani thi ?-
Zamane ki Nazar hai Tere har Qadam pe musafir..
Kya Ab Bhi tumhe apni Qeemat janni hai!-
Mohabbat main hisab nahi,samajhdaar haar jaega...
Nasamjhi Main jo sab lutade , Bss wahi paar paega...-
Jab chorh hi diya tumne sada k liye...
To ab yaad bhi na aao khuda k liye..-
Ik pathar tha aur aek pani...
Ye Behne se Raha wo Rukne se...-
Wo faraib main gum tha, hum the wafaa k maare..
Wo kabhi baaz Na aaya, Hum bhi kahan the haare..-
Ankh bhar dekha nahi kisiko Ik arsa hogaya..
Tum Bhi logon se Nazrain Chura leti ho kya ?
Har raat hoti hai Gufatgu sitaaron se tere naam ki...
Chand se mere haal ki khabar tum bhi kabhi leti ho kya ?-