Prashant Srivastava  
211 Followers · 254 Following

read more
Joined 15 April 2017


read more
Joined 15 April 2017
YESTERDAY AT 2:20

Ek baat ek arse se kehna chahta hu,
Jaane Kab waqt vo lamha le kar ke aayega nahi janta,
Par kabhi kisi ne mujhe bola tha,
Aashiqui ka bhoot sar par chdha hai iske,
Koi utaarega Aashiqui ka bhoot!!
Aur mai bikhar kar roya tha uss waqt!!
Vo waqt tha aur aaj ka waqt hai,
Ek tufaan se gujar kar jo majboot ho chuka hu mai,
To uss baat ka jawab dene ke waqt ke intezar me hu,
Ki Aashiqui ka vo bhoot utar gaya Mera,
Nuksan isme tumhara hi tha!!
Abhi thukra pau uss kabil nahi hu mai,
Par ek roj jab jeet mere dar Par aayegi,
Uss roj tumhe tmhari baat ka ahsas karwaunga!!
Kuch ladayian khtam karni hai,
Abhi waqt nahi aaya hai mera,
Par itna waada karta hu,
Vo waqt bhi jaroor aayega!!!!

-


24 MAR AT 16:12

Aksar sochta hu,
Ki sab kuch to hai,
Par phir bhi ek kami si kyu khalti hai mujhe!!
Aur Sach bolu to iska jwaab nahi
Hai mere pass!!!

-


22 MAR AT 14:30

Itihaas utha ke dekh lena,
Mit gaye Bade bade samrajya yahan,
Khatam hue bade bade raja bhi,
Aur khtam hui tanashaho ki tanashahi bhi.
Aaj waqt tumhara hai,satta tumhari hai,
Par jab waqt badlega,
Jab satta badlegi,
To tutega ahankar bhi,
Aur tum par hoga atyachar bhi.
Yaad rakhna satta kabhi ek jagah nahi tikati,
Aaj jo tumhara hai,
Vahan kal koi aur hoga.

-


21 MAR AT 21:57

Mai ye soch raha
Kar lo jo Manmani karna hai,
Jab waqt badlega,satta badlegi ,
To tumhe dusro ki manmaniyon se kon bachaega...

-


21 MAR AT 0:34

Kuch ishare kayanat ne diye hai,
Par Sach ye hai,
Ye Lambe samay se chala aa rha ek sangharsh,
Aakhir me ek Bade yudhya me badalne wala hai.
Ek bada yudhya jab bhi hoga
Haar ya jeet,
Sab kuch aakhiri ki taiyario par nirbhar karega,
Par ek sangharsh ka safar,
Apni manjil ko paane ko taiyar hai.

-


14 MAR AT 3:30

Ek yudhya mein,
Khun se lathpath jakhmi ho kar Yodha ban kar tu khda,
Thame hathiyar girate hue, khud ko Sambhale tu khda!
Aa rahi hai aandhiyan,
Bohot Tej hai Hawao ka shor!
Samne aa rahi hai chunautiyan,
Maano prakriti bhi ho tumhare Virudh,
Phir bhi yodha ban kar tu lada.
Samne aati hai dushmano ki tolian,
Utha Talwar iss tarah,
Ki ho jai sar dhadh se alag,
Mrityu bhi kaanp uthe,
Girti rahe laashe har pal!
Par tu khada rahe,
Thame hathiyar apna,
Yudhyabhumi par Tika rahe!
Yaad rahe tu gira to,
Sab gir jayega,
Tu hi shuruat hai
Aur Tu hi aakhiri lalkar hai,
Jeet teri hogi ya itihaas me naam amar ho jayega!!!

-


14 MAR AT 2:53

तो ले, मैं भी अब जाता हूँ,
अन्तिम संकल्प सुनाता हूँ।
याचना नहीं, अब रण होगा,
जीवन-जय या कि मरण होगा।

-


14 MAR AT 1:55

Kabhi kabhi vo lamha aata hai,
Jab aapko ahasas hota hai,
Vo log jo aapke Kareeb the,
Vo aage badh chuke hai,
Aapko piche chhod kar,
Aur aap kabhi bohot piche chhut gaye hai,
unki yaado ko saath.
Phir aapko apna safar yaad aata hai,
Jise aapko hi poora karna hota hai,
Kyuki kuch kahaniyan badal chuki hoti hai.

-


11 MAR AT 1:58

Kehte hai vairagya,
Moh maaya se dur kar deta hai.
Par ye kaisa vairagya hai,
Jo mujhe moh maaya se dur karke bhi,
Mujhe uche mukam,naam,sohrat paane ko kehta hai,
Iss baat ko mai samjh na saka,
Jo chaho jise chaho vo mil hi jaaye,
Ye jaroori to nahi.
Par phir duniya bhar ki uchai mil jaaye,
Kya farq padta hai.
Nahi janta mai ye kyu mehsus kar raha,
Par ek jimmedari mehsus hoti hai.

-


11 MAR AT 1:08

Ek sapna tuta hai abhi par,
Phir bhi ek umeed si hai mujhe,
Vo jo mera ishq Jo abhi mera nahi kisi aur ka hai,
Ek roj mera hoga.
Vo jo sapne mere abhi adhoore hai,
Ek roj poore honge.
Sapno ko haasil kar Lunga mai,
Par Pata nahi kyu Mera man,
Mujhe se aksar kehta hai,
Ki vo ishq bhi tmhra hoga ekdin.
Aur Pata nahi kyu,
Mera man iss baat ko yaqeen karne ko kehta hai.

-


Fetching Prashant Srivastava Quotes