Maine socha usey haqiquat ki tarah ,
Vo mila mujhe ek khawaab ki tarah
Maine maanga usey mannat ki tarah ,
Mehsoos kiya usey jannat ki tarah
Maine samjha usey apno ki tarah,
Usne maana mujhe gairo ki tarah
Vou guzar gaya ek lamhe ki tarah,
Mai thehra raha zindagi ki tarah
Maine chaaha usey kaayanaat ki tarah,
Par mil na saka usey pehle ki tarah
@lyricallypragati-
Random thoughts....
its the best place..unless any soc... read more
Mera kya kusoor
Zindagi mei chahne vale, bohat milenge
Magar sirf kisi ko chahna, pyar nahi
Jab mile koi aisa, jo tumhari chahto ko chahe
Meri nazar mei, isse behtar koi yaar nahi
Maine bhi dil dia tha kisiko, jo nikla saudagar,
Isme mera kya kusoor
Pyar behisab kia jisse, vo nikla na kabil,
Toh mera kya kusoor
Uss daur se niklne mei mujhe zamane lag gaye
Muhabbat k raaste ab mujhe darane lag gaye
Sochu ki bin kahe jo jazbaat samajh jay,
Aisa Mehboob kya milega kahin
Pucha Maine jab bhari mehfil mei yeh sawal
Toh jawab aaya, milega zarur,
magar kitabo mei kahin
Kyuki asal mei, galti ishq ki nahi,
Kitaabo ki hai
Galti un kisse, kahaniyo aur khayalon ki hai
Galti asal mei dhokhe ki nahi,
balki yakin karne valon ki hai
@lyricallypragati-
संभाल लेंगे खुद को
जाने से तुम्हारे लगा की खो देंगे खुद को
लगा गलत था शायद की रोते ही रहेंगे अब तो
खो ने से तुमको ही पा लिया मैंने खुद को
लगा ही नहीं था कभी की संभाल लेंगे खुद को
-
Waqt piche hum laa nahi sakte,
Daastan yeh apni suna nahi sakte,
Tum aaye magar badi der se,
Vapas zindagi mei tumhe laa nahi sakte
Chod diye raaste Jo humne,
Unn galiyon mei vapas jaa nahi sakte
Waqt piche hum laa nahi sakte,
Daastan yeh apni suna nahi sakte-
माना बेशक़ ख्यालों के लिए दुनिया में ,
मन के सिवा और कहीं कोई जगह नहीं होती !
मगर वहीँ कुछ जगहों के जादू में ,
ख्यालों के अलावा और दुसरी कोई ख्वाहिश ही नहीं होती।-
Waqt vo zanjeer hai jo,
khuda bhi kisi yug mei na todh paya..
Kismat ki lakeeron mei likha hai jo,
Karam khuda ka kuch hadd tak zarur badal paya..!-
I see everyday, it starts with the Sun and ends at the moon.
Wonder how I, my words are so stable, writing them from sun till the moon.-
Ishq ki baat jo chedu mai agar, Isey mehej insaano tak mat samajhna
Yeh chand, taaro, pahad, suraj, samandar or ruhani rishton se hota hai, Jismo se nhi..
Ab tum mehej isey bakvas samjhkar, Baat yeh nazarandaz naa kar jaana
Hai sirf dhai akshar yeh magar, Samjhana hazaar kitaaobon mei bhi mumkin nhi..!
-
ज़िंदगी कुछ इस कदर बेज़ार हुई, जैसे बंजर हो कोई ज़मीन..
मोहब्बत में इस कदर टूटकर तार हुई, जैसे शौक बिना शौक़ीन !
@pragatigusain✍️-