Itne taare the ki asmaan me
ginne par bhi lakhon chut gaye,
Zamaana to tabhi hath dikhaya
jab bhi koi taare toot gaye .
-
Mod aaye, chahe pahad aaye
Usi ke saath sair karna hai,
Raaste par sukoon ki godaam thi
Wahin hoke phir se gujarna hai.-
Ek baar gir gaye to toot gaye
Bar bar bachaya to tha humne
Ek baar haar gaye to ruth gaye
Har bar jitaya to tha humne-
Heera jab nahi toot ta hai
To chot chup jata hai
Shaqs jab nahi ruth ta hai
To dard chup jata hai.-
Jis galti keliye
Duniya ko raakh kardun
Agar vo galti aapki ho
To maaf kardun.-
Na mujhe iska koi ehsaas tha
Na hi koi jawab mere paas tha
Ye zindagi giri bhi to bahot baar thi
Lekin na tootna hi kuch khaas tha.-
Itna kareeb hogaya tha vo
Mujhe laga mera hogaya tha vo,
Sari baaten bas yaad hi rah gaye
Aur hum kisi aur ke baad hi rah gaye.-
Tohfa na de paya to kya hua
Aapki khwaish se badkar kuch karna hai
Agar aap jaan maangoge to
Mujhe maut se bhi jyada marna hai.-
Tere khatir na kiya ho
Aisa koi sajda nahi
Ibadat se bhi jo tu na mile
To mere koi khuda nahi.-
Mujhe samajne ki koshish mat karna
Me khud apne aapko samaj nahi paya
Patang hokar bhi ud na paya
Raakh honepar bhi bujh na paya.-