Na sakhsiyat aisi ki tere baare kuch likh skta hu
Na kirdaar hai aisa ki tere ko padh sakta hu
Ae mere dost meri dosti,
itne kaabil jaroor hai ki
Tere liye saare jahaan se ladh skta hu-
And official account infoprabh2001
Tere kirdar par likhte vaqt meri kalam ruk gayi, meri kya aukaat likhoon uske baare me jiske saamne maut bhi jhuk gayi.
-
Parivaar jaisi aur koi saugaat nahi,
Rabb ne dia aisa dia taufa ki,
Iske aage kohinoor ki koi aukaat nahi,
Jiski kalai pe bandhi ho rakhi,
Us bhai ko kuch ho jaaye aisa koi bana aujaar nahi.
Bachpan me bhen ke baalo ke saath khelna, usko rulake phr uski cheekh ko jhelna.
Aise yaadein kabhi dhoondhli na ho jaaye,
Vo shaitania kahi bhool bhulaiya me na kho jaaye.
Ye shararte dil me reh jaati hai,
Aaj bhi ye bade buddo ke tarah samjati hai, iski smaj ke aage bagwaan bhi fail hai
Isey tang karna to hamare baaye haath ka khel hai.
Hamari tom and jerry vaali ladai se
Maa tang ho jaati hai, kahi kho na doo in yaadon ko isliye ankhein kabhi kabhi nam ho jaati hai.
Aakhir me zara sunkar
Bhaiyo ne bhen jaise anmol ratan paaye hai. dil to karta hai nikloo phr tere saath un raaho par taaki log kahe ki bhai-bhen nahi.
Do jigri dost aaye hai.....-
Waqt ki race me hum waqt ko peeche chod gaye, baithe the shaan se kudrat ki godi me aur kudrat ke kanoon tod gaye.
Par ab pachtane se kya hona hai
Udh mat panchi ki tarah ghar me baitha reh, bahar ghoom raha corona hai.
Jo ghoom rahe hai galion me unki choti soch hai, kara lo tum dimaag ka ilaaj tumaare bheje me aayi moch hai.
Kitne khudgarz ho tum kehte ho ghar me baithe baithe sadh rahe hai, arey salaam karo un hero ko jo is mahamaari se lad rhe hai.
Tum unke josh ko jalakar usi ki chita par aag sek rahe ho, kaise niwasi ho tum jo bacha raha hai usi par pathar faik rahe ho.
Unka bas chale to bhool jaaye tumeh
Peecha unka bhi parivaar hai,
Aao kare salaam juk kar jo desh ko bachaane ke liye tyaar hai....-
Ye I love you ki line
Aapke mehnat ke aage choti hai
Agar ye dunia hai koyla
To aapne hi hume banaya moti hai
Ye samundar jaisa dil kaha se aaya hai
Sapne kiye nhi khud ke poore
Par hamare liye hamesha gift laaya hai
Kar le hum kitni mehnat
Aapke jaisa na ban paayenge
Aapki khuwaishon ko hum khuda se cheen laayenge
Vaada hai mera ki is jangal ke banenge raja
Par taj aapko pehnayenge .
Aap aaj bhi bht c seekh dete hai
Ek din aisa jaroor aayega
Jab aap kahenge audi chod beta bugaati hi lete hai-
Gaye the hum maikhane
Par unki aankhon jaisa koi nasha na mila dil to karta hai pee jaaye unhe
Par kambhaqt unke dil ka pata na mila
Aaye the maikhane me bht se diljale
Par koi bhi hamare jaisa aashiq na mila-
Dil karta hai maa
Tere pe likh doo ek kitaab
Par dil me alfaazo ki kami ho jaati hain
Yaad karta hu jab teri daant ko
To aaj bhi kambhaqt ye aankein ro jaati hain
Gham to nhi hai hai bichadne ka
Kyuki Saflta har mukaam par kuch na kuch maangti hai
Kaha se aayi hai ye shakti ki mere dil ke aahat ko meri aankhon se pehchanti hai
- Prabhjit singh-
Khushion ka bageecha paas tha
Waah wo bachpan bhi kitna khaas tha
Wo bachpan ki yaadein kabhi jaati nahi
Jab tak maa gaana na sunaye tab tak neend aati nahi ...
Gaana sun ne ke baad kitni haseen neend aati thi...
Sharati to hum bachpan se the
Sapno me bhi paria bulaati thi
Kuch khaufnaak sapno se seham kar baith jaata tha ...
Maa ke alfaaz sun kar darr bhi kahi chup jaata tha...
-
Hamara naam itna aam nahi
Ki milega har kitaabo me
Bht naseeb vaale ho tum
Jo hum aate hai tumaare
Khwaabo me-