Sirf khoobiyon se nahin hota mukammal,
Ishq khamiyon se bhi junooni hona chahiye-
Mohabbat se adavat me jo hain barbad to hain...
वँबा के दिन गुजर जाएंगे तो मुस्कुरायेंगे
आवाम के जख्म भर जाएंगे तो मुस्कुरायेंगे
इन्सानियत का इल्म ही नहीं रहा हैवानों को
हैवान जब इन्सान बन जाएंगे तो मुस्कुरायेंगे
जिन्दगी में तेरे गमों के शिवा कुछ भी नहीं
यकीनन तुझे भूल जाएंगे तो मुस्कुरायेंगे
पुरखों की जमीनें बिक गयी इलाज में प्रभात,
जब सबके कर्ज उतर जाएंगे तो मुस्कुरायेंगे-
राष्ट्रवादियों की सरकार है,
मासूम जनता लाचार है,
नौकरीयों की भरमार है,
बस रिश्वत की दरकार है,
उद्यमियों का व्यापार है,
शिक्षित युवा लाचार है,
नन्हा भविष्य बीमार है,
मिलता ना उसे उपचार है,
योजनाएं अपरम्पार हैं,
फिर भी बउवा बेकार है,
सब इनका ही उपकार है,
पर नेहरु जिम्मेदार है,
-
auladein kahaan ab ma-bap ke sath rehti hain
Lab muskura lete hain aankhein udas rehti hain
Majboori me vriddhashram chhod aya hai ma ko
Ab ghar me to biwi bacchon k sath sas rehti hain
Puje jate hain itni minnat se khuda aur bhagwan
Aakhir in auladon me aisi kaun si aas rehti hai
Vo budhiya jo jeene ka hausla deti thi duniya ko
Jabse beta gya hai tabse hatash rehti hai
Shohartein ma bap se keemti ho gyi hain
Mai bekar hu fir bhi maiya mere pas rehti hai-
Kisi ki nazar kisi ka khwab hue ja rhe hain,
Ladle kyu ma se naraaz hue ja rahe hain
Jinka shor bheed ki gumnami me mar gya
Aaj kisi dil-ajeez ki awaj hue ja rhe hain
Kisi ne khushiya bech di inki salamti k liye
Ye Nasamjh husn pe tabaah hue ja rhe hain.
Inhe samjhao ki sambhal jaye prabhat
Ye ladke ishq me barbad hue ja rhe hain.-
Mai har aashiq se ye kehna chahta hu ki,
Ishq mehboob ke mil jane se mukammal nahin hota,
Ishq tab mukammal hota hai jab tumhara mehboob tumhare ishq ka katl karke tumhari mohabbat se gaddari kare,
Ishq tab mukammal hota hai jab tumhara mehboob tumhare bharose ko tod ke raqeeb ki bahon me simat jaye..
Ishq tab mukammal hota hai jab itna kuchh hone ke bad bhi tay nahin kar pao ki isase ishq kare ya nafrat....
Adhoora ishq hi asal me poora ishq hai-
zimmedariyo ka bojh
Aur berojgari ka kalank
Bhari jawani me
Budha bna deta hai
-
Waba to shehraon me safar kar rahi hai
Zindagi to ganvon me basar kar rahi hai
Humne jungle jalaye nadiyon ki ijjat nahi ki
Ab kudrat humara kaisa hasar kar rahi hai
Is Waba ke daur me na maut hai na zindagi
Ye beraham humpe kaisa asar kar rahi hai
Humne bade zulm kiye hain kudrat pe prabhat
Ab kudrat hume chun-chun ke muntashar kar rhi hai
-
Ye berahem sa waqt guzar kyu nahin jata
Tujhse bichhad ke mai mar kyu nahin jata
Ek arsa beet gaya hai fizool ki ibadaton me
Agar kahin khuda hai to nazar kyu nahin aata
Uski muskurahat se khushi ka kya andaza lgana
Agar vo khush hai to sanwar kyu nahin jata
Usne jhuth kaha tha mujhse mohabbat hai
Mohabbat hai to toot ke bikhar kyu nahin jata-
Sabki galatiyon ka khud kasoorvar hona
Kitna mushkil hota hai vafaadar hona
Sukhi aankhein muskurata hua chehra
Asan kahaan hota hai samajhdar hona
Har roj toda jata hai bharosa sabka
Bada mushkil hota hai zimmedar hona
Meri taqdeer se mehanga hai kasa uska
Bheekh se behtar hota hai madadgar hona
Begunahi ki saja behad dardnak ho gayi hai
Shayad haseen hota hai gunahgar hona
-