Chahat hai jiski use pane ki tamanna rakhte hai har bure waqt me hausala-e-booland rakhte hai , Usool chahe jo bhi ho, mohobbat par aitabar bhi rakhte hai aur khuda ki inaayat par yakeen bhi rakhte hai !
Apne haseen khwaabo ko kuchalkar jina sikha hai maine himmat yuhi tod doge aisa bilkul mat samajhana , Palatwar to hum bhi kar sakte hai bas sher ki dahad ko billi ka chillana mat samjhana !
Khamosh ishq aankho ki jubaan sunata hai aur us khamoshi ka zikr hum har mehfil me kiya karte hai , Bass Ishq hume yuhi aabaad kar raha hai kehne walo , yad rakhana nafrat palne wale hi humesha ishq ko tumse waqif karate hai !
Mohobbat ne tumhe muzse waqif karaya hi aise waqt me hai ke haq banata hai tumhara kisi aur ka hone ka , Bas bharosa rakhna chahat par apni ke muh modkar kisi waqt chale na jaye !