N jane kyo itni badi ho gai
Bato se sbki me uljh si gai
Jindgi ke kitabi panno se
Me har roj bikhratii chli gai
Har roj nayi subah kuch Naya hua
Meri jindgi ka har Panna bharta gya
Khushi ,gam sb aaye magar
Har roj ek Naya sabak deta Gaya
N jane kyo itni badi ho gai
Jawani jis kadar le rhi pariksha meri
Bachpan ki sari baate fiki pad gai
Bas ab to har baat satane lag gai
N jane kyo itni badi ho gai
Mere sare pal bitte chle Gaye
N chahte huye bhi sb adhure reh gye
Chaha bahut kuch tha mene bhi
Pr apno ki khushiyo ke aage unse duri ban gai
Ladki hona hi mano ab to saja ho gai
Kuch kru ya na kru yahi wajah ban gai
Mere aramano ko Pinzre ki kaid lag gai
Kuch wqt nahi umr bhar ki njar lag gai
N jane kyo itni badi ho gai
Shikyato ki bahut sari jhadi lag gai
Kisse kahu kese kahu sb baate hi reh gai
N jane kyo itni badi ho gai
-