Salwate bistar ki de rahi hai gawahi gair ki
Kab talak hum yun karwat badle,
Hum to samjha lenge is dil ko ki koi nahi hai gair
Par behtr hoga ki ap apni adatein badle.-
pinkuljadoun
Not a habitual writer
Poetry shayari 😍 love
Samaye samaye ki baat hai
Samaye bada balwan,
Ek samaye me samaye badle
Ek samaye insaan.-
Vo na hindu hoga,
Vo na muslim hoga,
Vo balatkari hai
Uska shayd he koi dharam hoga,
Kya Maa, Kya Beti, Kya Behen,
Kya koi rishta hoga,
Jab jagegi uski hawas
To bas ek ladki hogi,
Or ek bistar hoga.-
Kehte hai raat beeti, baat beeti,
Par us raat, vo raat to beeti
Par baat na beeti
Ao sunau tumko apni aap beeti,
Jab aya uska phone, to mene uthaya
Phle pucha haal, fir milne bulaya,
Jana tha ghar par ho gya hai late,
Mene bola chalo kaam karte hai ek
Rukne ka tumhara kuch intezam karte hai,
Tumhare liye ek room book karte hai,
Room me jaate he ek ajeeb si khamoshi chhai thi
Kyuki phli baar vo mere itne kareeb ai thi,
Socha, sochta tha jo aaj vohi baat karu
Par sawal tha yahi kese shuruwat karu,
Fir dhime dhime usne he kari shuruwat, usne pakda mera hath,
Or boli
"Thank you, aj tum ni hote to kise he call krti me"
Andr he andr me bhi khush ho rha tha
Shayd esa mere sath pehli baar ho rha tha,
Me bhi use dekh kar thoda muskaya
Fir jo bhi tha dil me sab usko btaya,
Andr he andr kitna chahta rha me,
Paane ko usko kitna marta rha me.
Baat karte karte me itna usko bhaa gya
Pta he ni chala kab kareeb itna aa gya,
Jaane laga me vaha se, bye bolkr haskr
Gale lagaya usne mujhke ek dum kas kr,
Boli aj mt jao, ye raat kuch khaas hai
Ptani nahi kyu, ye dil keh rha ab hamara sath hai,
Us raat ki kbse aas thi,
uski baate kuch khaas thi,
kya batau yaaro vo kitne mere paas thi.-
Jab chhuta sath tera
To din kuch yun badal gaye,
Kabhi roye sham ko beth kar
Kabhi maikhano me tahal gye.-
Jaha khele kude bade hue
Mitti or ghaas me,
Vahi gaon chhod diya
Tarakki ki aas me.-
Veeran hu, banjar to nahi
Haan thoda chubhta hu tujhe
Par khanjar to nahi,
Kitne ansu bahau in ankho se
Ankhe h ye koi samandar to nahi.-
Vo to apne dil se mujhe be-ghar kar gya,
Kbhi mekhana tha jo, vo ab mera ghar ban gya.
-
Ravan Vaani
Sarvshretha, sarvgyani, sarvshaktimaan mai,
Agar daanv hai tu, to RAAVAN mera naam hai.
Khud suraj bhi shani ko bachane aya tha,
Kyuki mene YAMRAJ or SHANI ko bandi banaya tha.
Kanpti hai puri dharti jis se (MAHADEV) uska param bhakt hu,
Jo kbhi na hara aaj tak, mai vo atal satya hu.
Apoor takat or dhan ka samrath hu
Or jo devta ko bhi hila de me vo vinashkali shrap hu.
Ik bhul esi hui, kaam esa kar diya
Maa jesi thi jo SEETA usko he har liya,
Ek RAM tha jo mere mann ko bhaa gya
Seeta ki khatir vo lanka tk bhi aa gaya.
Jo kaam atal tha kabhi vo kaam esa kar gaya
Sarvshretha, sarvgyani, sarvshaktimaan, amar RAAVAN ko vo mita gya.-
Chalo mana ki ye shehr mera nahi
Yaha sb gair hai, mera koi apna nahi,
Tere siwa kaha janta hu me kisi ko yaha
Khair chhod tu bhi to ab mera nahi.-