payal nayak Β  (payal)
227 Followers Β· 215 Following

read more
Joined 22 May 2019


read more
Joined 22 May 2019
17 DEC 2021 AT 20:56

hazar logon k bich, ek hasin nazara tha
do nadiyon ko milata ek kinara tha
hasin nazara ho ya koi kinara,
kismat ne mujhe abhi ajmaya nahi
bheed mein kho gayi thi mein shayad
jo us roz hua wo aj tak phir kabhi hua nahi
wo us roz samne tum hi the na
us bheed mein tumsa koi aur mila nahi
nazrein khubsurti talashti hain aksar
khubsurti ka dariya magar aj tak mila nahi
wo us roz samne tumhi the na
us bheed mein tumsa koi mila nahi
tamam raton mein wo ek raat v thi
mere khayalon mein wo Baat bhi thi
bas khwabon mein wo ehsaas kahin tha nhi
shayad kuch khaas lage the tum mujhe
magar kahan kaise kyun wahi toh pata nhi
wo us roz samne tumhi the na
us bheed mein tumsa koi mila nahi

-


25 NOV 2021 AT 15:53

I learned many things in my life till today but today I learned the most important fact of my life and that is - "whatever you choose no matter if that is wrong or right you have to face the consequences" I have done many wrong things, but I never regretted, not because I think I am right but because I choose that and now I have to face it.
In our youth or I can say in our college days we were not aware of the difficulties we have to face in future in trifle stuff but once we face graduation we somehow gets a glance of all the problems ahead.
In our youth we learn how to face the most dangerous fights in family, how to hide our pain and fake a smile, how to let everyone understand us, how to let go.....
Somehow every failure teach us some big stuffs about life....
So don't learn to win, learn to learn from failure...you will be a winner.

-


20 NOV 2021 AT 21:49

Darkness is like that part of your life which you can never get to know if you don't face that...
Life is a zig-zig road destined to death.. May be we know what we are gonna face or may be we don't.. sometimes we are ready to face any turn of our life and sometimes we ain't, sometimes we are the winner and sometimes we are looser but whatever is going on in our life at the end of the day we became mature enough to handle upcoming events in life.

It's easy to write these philosophical lines, sometimes it seems tacky too but it's too hard to do. when you know what you are gonna face and loose it's really very tough to face that. At that time family and cousins and friends are the most important factor to show us the right path but what if life takes a turn and you are gonna loose one of them? How do you face that?
-------

-


26 MAY 2021 AT 21:59

Zindagi gar koi raah hai,
toh manjil kya hai?
Rishton Ki akhir,
ehmiyat kya hai?
Paison ka wajan bhari,
rista halka kyun hai,
akhir zindagi ka wajood kya hai?

Ladh jate hain parivar mein,
paisa hi deewar kyun hai?
Tut gaye riste
kuch toh dil v tute hain.
Kanch k ghr mein rehena v muskil hai,
phir v log rehete kyun hain?


Aur ye usool kaisa hai zindagi mein
paisa hai toh rista hai,
Warna apne bhi apno ke bagair kyun hain?

-


22 MAY 2021 AT 16:44

aksar waqt tanha guzara karte hain
dil mein tumhe aur
dhadkan tumhare naam ki rakhte hain
ye kaisa rista hai hamara
tumhe humse koi fark nhi padta
aur hum tumhare liye jiya karte hain

-


7 MAY 2021 AT 10:29

Happy anniversary maaa n papa

do raahi chalte chalte
humraahi kab ho gaye
kisi ko na thi khabar
sathi kab wo ho gaye
kabhi narazgi kabhi pyar se
tay karte wo ye safar
jane kab wo humsafar ho gaye...
Yun hi saath rahen wo hamesha
dua khuda se hum kar rahe...
salamat rahe muhobbat unki....
zindagi k har mod pe
ek dusre ka haath thame
yun hi pyar wo nibhate rahe...





-


3 MAY 2021 AT 23:28

In Andheri raton mein
Itna sannata kyun hai
Mehfilon Mein guzar jate hai din
Akhir ye raat tanha kyun hai
Yaadon Mein Hazaron ki jagah hai
Magar tasavoor kisi ek ka kyun hai
Khwabon ki khwahish toh hai bahut
Par ye nazron se neend gayab kyun hai
Chain se jeena hai beshak
Magar ye zindagi itni bechain kyun hai

-


18 APR 2021 AT 22:10



Mehfil jami thi
Aj Sirf taliyon ki kami thi....
Wo din Yaad Aa Gaya jab clg Mein
Tarifon ki pool bandhi thi
Aur bade bade shayar, gayak, wadak (instrumentalist)
K bich baithe hum hain
Sikhne k liye hai Saamne samandar
Kambaqth
Corona k darr se ghr Mein hum band hain...

-


7 MAR 2021 AT 23:33

teri nazron mein iskadar dubi mein
k dariya-e-ishq ki geherai ka pata na chala
na mujhe tairna ata tha
na mein dub rahi thi
bas mujhe kinara na mila
Inshaallah
khuda kare mujhe kinara mil jaye
kinare pe tera dil ho
tere dil mein thodi jagah mil jaye
aur rehene k liye chat nhi mere paas
tere ashiyane thodi si zameen mil jaye

-


1 JAN 2021 AT 0:01

Lyf is full of paths , where u can choose right and wrong... every path has its own destination....In this upcoming year choose a right path so that u can reach to d best destination ever and work smartly to enjoy ur destiny....
This day comes in our lyf only once coz every day every year has its different speciality different luck and different perspective...You will never live this day before n u never will again so make the most of it...
A new year is like a blank book and d pen is in your hands it is your chance to write a beautiful story for yourself...
It's time for a fresh and new chapter in lyf...
Hope this year brings you the most beautiful and special memories....

HAPPY NEW YEARπŸ’•

-


Fetching payal nayak Quotes