Parvez Khan Hakim💜   (P@RvEz_kHaN💟)
654 Followers · 94 Following

read more
Joined 6 March 2018


read more
Joined 6 March 2018
30 APR 2023 AT 21:02

Bahut yaad aati hain wo purani baaten

Tadpa deti hain kuch apnon ki Yaaden

Yun to din guzar jaata hai masroofiyat me!

Par kat'ti hain ba_mushkil ye khamosh raaten

-


28 NOV 2022 AT 22:07

کیسی سزا کیوں درد ہے، کیسی دوا
درد ملا خود سے سدا، کئ دفعہ

کیوں شرم ہے، کیا کردیئے، کیوں نرم ہے
جو رنج و غم ہے، کردو فنا، پہلی دفعہ

تیرا ہنر، جو بند ہے، کیوں قید ہے!
کردو اسے، سب سے عیاں، اگلی دفعہ

کیسی ادا، جس پر نہ ہے، کوئی فدا!
شرم و حیا ترس جدا ہر ایک دفعہ

-


18 NOV 2022 AT 21:18

Wo jo raat me sitaron ko ginna
Aur phir sochna k hum!
Konse sitaare par the?
Wo bhi kya din the na?

Zamane bhar ki uljhanon se befikar rehna
Kaagaz ki naaw bana kar pani par chalaana
Hawai jahaaz bana kar wo aasman me udhaana
Pet me beej chale jaayen to ped uthne ka khatra rehna
Wo bhi kya din the na?

Aur kya kya sunayen hum wo din kaise the
Shararaton me chupi masoomiyat k phool jaise the
Ye phone-internet ka humse koi waasta nahi tha!
Saare dost_ahbaab saath me ek bandhan jaise the
Wo bhi kya din the na!!!?

-


17 NOV 2022 AT 21:07

Hote hain zindagi me!
kuch gum aise bhi parvez

Mitaaye nahi mit'te
Sudhare nahi Sudharte!

-


17 NOV 2022 AT 20:15

دیکھ کر تجھکو یوں دور جاتا دیکھ پرویزٌ
تنہائی میں بہت رویا کرتا ہوں میں

Dekh kar tujhko yun door jaata dekh Parvez
Tanhayi me bahut roya karta hun mai

-


17 NOV 2022 AT 20:09

Bahut naaz_o_nakhron se!
paas aate hain log!

Phir kiyun bin_bataye!
chale jaate hain log?

-


15 NOV 2022 AT 11:49

Ye sard mousam me!
Khilte huye phool
Subah me shaakhon ki pattiyon par
Ye padhti huyi ous

Ye khilkhilate huye gulon ki angdayiyaan
Bahut khoobsurat lag rahi hain ye machalti huyi titliyaan
Dekho inn chuyi_muyi ki sharmati huyi ankhadiyaan
Idhar udhar chahek rahi hain masti me gilheriyan

-


10 NOV 2022 AT 23:21

It was a very beautiful journey with you, dear YQ!

Bahut se Khaas rishte bane
Jo apne nahi the wo apne bane
Kayi anjaanon se mulaqat ho gayi
Unke liye ulfat aur zyada badh gayi
Ab bahut kuch Yaaden judi hain tere saath!
Kayiyon ne diya yahan apne haath me haath
Kayi dost bane, jo bahut pyare hain
Kuch bahenen hain, kuch yaar bane hamare hain
Tere Saath hi shayarna safar ki shuruwat huyi thi!
Kayi logon se hamari baat huyi thi
Bahut se Di hain yahan, jo pyare bahut hain
Kayi dost hain yahan, jo nyare bahut hain
Bahut se Roshan titliyaan yahan aastana banaye hain
Kayi masoom kaliyan khud ko khilaye huye hain
Bass ab gayeb hona hai yahan se Jaise,
zindagi me koi permanent nahi hota!
ye waisa hi kuch hai... 💔

-


9 NOV 2022 AT 13:51

I can't believe, this is happening 💔😐









But I wish for your comeback dear YQ💜
(check caption)

-


7 NOV 2022 AT 8:29

ائے ہواؤں، موڑ لو اپنا رخ کسی اور کی طرف!
یہ چراغ بجھنے کے لئے روشن ہوا ہی نہیں ہے

Aye hawaon, Mod lo apna rukh kisi aur taraf!
Ye charag bujhne k liye Roshan hua hi nhi hai

-


Fetching Parvez Khan Hakim💜 Quotes