Nayab hai zindagi, Nayab se log
Kitne pyare se Mehtab se log
Kayi din guzar gaye unse baat kiye bina!
Jo dil me bass gaye hain Gulab se log 🌹-
Landed on this planet 🌏 at 13 Sept 1998🎂💜
Ohh yess! Yeah, I am a tea lover ☕🍵✨💜�... read more
Bahut nayaab ho tum!
Nayaab hi rehna sada
Khud ko tarasha hai tumne!
Heera hone ki chaah me behad-
Jaane waale ab Yaad aa rahe hain behad!
Be_wajah unki yaaden tadpa rahi hain behad
Ye khaali khaalipan, ye lamhen khamosh se!
Dil me ajab si kashmakash macha rahe hain behad-
AISI BHI KYA UDAASI!
ROOTH KAR JO BAITH JAAYEN😑
DO CHAAR MEETHI BAATEN!
APNON SE KARKE TO DEKHO😃-
Bahut yaad aati hain wo purani baaten
Tadpa deti hain kuch apnon ki Yaaden
Yun to din guzar jaata hai masroofiyat me!
Par kat'ti hain ba_mushkil ye khamosh raaten-
کیسی سزا کیوں درد ہے، کیسی دوا
درد ملا خود سے سدا، کئ دفعہ
کیوں شرم ہے، کیا کردیئے، کیوں نرم ہے
جو رنج و غم ہے، کردو فنا، پہلی دفعہ
تیرا ہنر، جو بند ہے، کیوں قید ہے!
کردو اسے، سب سے عیاں، اگلی دفعہ
کیسی ادا، جس پر نہ ہے، کوئی فدا!
شرم و حیا ترس جدا ہر ایک دفعہ-
Wo jo raat me sitaron ko ginna
Aur phir sochna k hum!
Konse sitaare par the?
Wo bhi kya din the na?
Zamane bhar ki uljhanon se befikar rehna
Kaagaz ki naaw bana kar pani par chalaana
Hawai jahaaz bana kar wo aasman me udhaana
Pet me beej chale jaayen to ped uthne ka khatra rehna
Wo bhi kya din the na?
Aur kya kya sunayen hum wo din kaise the
Shararaton me chupi masoomiyat k phool jaise the
Ye phone-internet ka humse koi waasta nahi tha!
Saare dost_ahbaab saath me ek bandhan jaise the
Wo bhi kya din the na!!!?-
Hote hain zindagi me!
kuch gum aise bhi parvez
Mitaaye nahi mit'te
Sudhare nahi Sudharte!-
تجھکو یوں دور جاتا دیکھ پرویزٌ
تنہائی میں بہت رویا کرتا ہوں میں
Tujhko yun door jaata dekh Parvez!
Tanhayi me bahut roya karta hun mai-
Bahut naaz_o_nakhron se!
paas aate hain log!
Phir kiyun bin_bataye!
chale jaate hain log?-