panda ..   (panda)
16 Followers · 2 Following

read more
Joined 11 April 2020


read more
Joined 11 April 2020
25 APR AT 18:17

…par jab i love you ka jawab, thank you se mile na,
tab andar kuch toot jaata hai khali ho jata hai bilkul;
kuch log itna toot kar pyaar kar lete hai ki,
khud hi toot jaate hai…!

-


23 APR AT 23:43

to the one and only…

-


30 DEC 2023 AT 18:37

baat khatm hogi chhitah ki aag par,

mein tumhein zinda bhula nahin sakta…

-


19 AUG 2023 AT 21:09

ki mere kamrein ke takhiye aur chaadar, inse zara pucho tum aaram mera…

har em angadayi mein laakhon kahani aur har em kahani mein bayaan wo naam tera…

-


13 JUL 2023 AT 12:00

aas paas ke maahaol zimmedariyon se bhare hai,

par kambhakt dil hai ki abhi bhi bachakani harqaton se nahi bhara..

-


7 JUL 2023 AT 21:25

suno bolte rehna, haan haan kuch na kuch kehte rehna;

kyon ki…

tumhari baaton se lafzon ka yeh jo behta dariya hai;

mann ko bohot acha lagta hai yaar…

aisa lagta hai ki jaise koi mujhe apne alfaazon se jhappi mar raha ho;

isliye suno tum kuch na kuch bolte rehna….

-


21 MAR 2023 AT 22:31

kaise bayaan karun,
uski taarefein, taaron ki ginti si lagti hai;

aur bebaak si aankhein unki,
mujhe bohot pyaari si lagti hai…

-


19 MAR 2023 AT 18:51

mumkin hua to phir milenge,

kisi intezaar, kisi rishte, kisi waadein ke bagair…

-


12 MAR 2023 AT 22:09

tu kya jaane, ye dil ab dil na raha;

tukra ae kaach, bikhra ye para..

-


5 MAR 2023 AT 20:10

kaandhein ko befiqri wala basta dhundh ni paaye,
hum tum se baahar aane wala rasta dhundh ni paaye;

kaha karte thhe log, hasna sikh rahe hai mujhse..
are baad tumhare jaane ke humein hansta dhundh nahin paaye...

-


Fetching panda .. Quotes