Lambi Zindagi hai meri
Mujhe jeena doo
Duniya kya Bolegi,
Yea bolke meri Neend kharap mat karo
Sab aage badh ne ki tayari mei lage hai
Par mujhe peecha rehe kar, kuch anokha karne do
Har koi kamzor pe hukumat karta hai
Mujhe in kamzoron ko Raja banaane ka mahulat de do
Manaa ki meri tarkeebe peechida hai
Par sachai yea hai ki yaadi yea muqambal hone pe utar aaye
Duniya meri jai kaar karne laag jaye
Zindagi ko chota banaana mera kaam nahi
Aur bina wajah lambe jeena ka koi swaad nahi
Kuch kar dikhaunga yahi soch le kar aya hun mei
Rok na saake koi esa auzaar khud ko bana raha hun mei.
-