Paas hoke bhi saath hoke bhi kyu itni doorie hai
khaamosh na reh, tere bin meri zindagi adhuri hai-
Thoda shayar, thoda mazahiya, thoda paagal, thoda serious. Poora aashiq...... read more
Meri khaamiyo ko kuredna bandh kardo
Ya phir mere doobne ka prabandh kardo-
Saari umr ache kaamo.n mein guzaar di
Duniya roti rahi meri ek khaami pe kyu?-
Raato.n ko neend nahi aati
Din mein chain nahi aata
Arey bhai ishq nahi
Zukaam hua hai.-
Ab mujhse yeh haq mat cheen..
Teri naraazgi pe tujhe mana b na saku
Khud se itni nafrat karne lagu
Ke tere qareeb aa b na saku
Tujhse nazar mila b na saku
Teri jhalak paa b na saku-
Rishto ke nibhaane ko kitne rango.n mein dhal jaata hoon
Rishtey shama ban jaaye toh parwaane ki tarah jal jaata hoon
Musaafir ke kirdaar mein na jaane kitne dino se chal raha
Aaj zara thak gaya hoon, ek din theher ke kal jaata hoon.
Zindagi ka raasta kaafi oobad khaabad bana hua hai mera
Girta hoon uthta hoon phir girte girte sambhal jaata hoon-
Ana mein mubtela the na rahi koi khabar
Jab tak laut ke aaye ujad chuka tha ghar.-
Ujad rahe parivaar bikhar raha jeevan
Yeh kaisi aafat hai bed hai na oxygen
Virus ki drushti mein koi pakshpaat nahi
Iss Maut ka koi ilaaj nahi kya karlega dhan-
Tere bin mera koi jahaa.n nahi,
Tujh bin lahoo mere rawaa.n nahi.
Meri saanso ne sawaal kiya tu kahaa.n hai
Dil jawaab deta hai tu kahaa.n nahi??-
Zindagi ke iss safar mein kabhi majboor na rehna
Tu hamesha saath rehna kabhi door na rehna-