Aaj bahot dino baad kuch likhne ka maan Kia,
Aaj dil k jazbaato ko baahar nikalne ka hausla dia,
Rok dia unhone fir mujhe aaj thoda waqt aur maang kar,
Koi mile dil lagaane ko to laga lena bol Kar,
Na mera dil wapas Kia na isme kisi ko aane dia-
Aadhi jindagi nikal gai
Iss sheher ko apna banate huye
Aaj ye sheher bhi Roo pada
Hume aalvida karte huye-
Wo dil mai to thaaa
Paar humara yaar nahi tha
Mukaamaal nahi hua
Iska ye matlab nahi ki wo pyaar nahi tha-
Wo anjaan hoke bhi humari jaan thee
Shayad hum ektarfa pyaar mai
Phirse kurban thee-
Aaj kaai dino baad kuch likhne ka maan kia
Jazbaaton ko lafzon mai tolne ka maan kia
Hume malum thaa
Ye shayar 9 se 6 ki daaud mai kahi chupa hai
Khudko shayar batalane k liye
Humne aaj bhi unka photo humari jeeb mai rakha hai-
Ye duniya badi zalim hai
Warna iss kadar hum zaleel na hotee
Aksar mohobbat bhi unse hoti hai
Jo Naseeb mai nahi hote-
Kuch baat hai apki ankhon mai
Dekhne wala barbad hota hai
Iss kadar apke diwane hajaro hai
Haar koi dil bechne k liye tayar hota hai-
Bewaja iss dil ko dhadakne ki wajah kaha hai
Aankhon se jasbaat padhne k liye waqt kaha hai
Log to kehte hai hume khub likhte ho tum
Paar jiss k liye likhte hoo wo insan kaha hai ?-
Aayee jindagi shukar tera
Tune bohot kuch sikhaya hai
Rishton ko parakhna sikhaya hai
Logo ko pehchana sikhaya hai
Kaai dafa ruulake
phirse hasna sikhaya hai
Ayee jindagi shukar tera
Tune bohot kuch sikhaya hai-
Sharab ka shauk nahi rakhte hum
Kambakkht subhe tak utar jati hai
Buss kai dafa apki akhon mai khoo jate hai
Khuda kasam puri jindagi gujar jati hai-