Gulo'n par tabassum magar mayoos baghbaa'n kyu hai,
Aqir ye saqi e sakina yu'n pareshaa'n kyu hai...?!-
Yaad aayengi ek din tumhe ye Inayatein bhi,
Hamara qeemati ho kar bhi tumhare liye muft ho jana...!-
Badgumani ko nahi chorte qamoshi par,
Bath kijiye to koi hal bhi nikal aata hai..!-
Sabr bemisal tha mujhme, himmath thi bala ki meri
Par bath yaha apno'n ki thi sambhalne me kaafi waqth laga..!-
Udas chahre, udas ratein,
udas zindegi, udas mausam,
Aaqir kithne cheezo'n par ilzam lagjate hain ilhaam'
ek dil ke udaas hone par🍂.!-
Bada mushkil hai rishto'n ke takhadus ko nibhapana, zara si badgumani...
aur muhabbath ruthjati hai🥀..!-
Yaqeen karke tere 'KUN' pe maula,
Apni hasratein sambhaal rakhi hain..!-
Hum daraqto ko kaha aata hai hijrath karna...
Tum parinde ho chaman chod kar jasakte ho🥀!-
When he controls every cell of your body, how can he not know what's bothering you..?!
-
Meri faryad bas mera Rabb sunta hai
Zamana to yu'hi kaan lagaye baitha hai..!-