Nitya Srivastava   (Nitya)
2 Followers · 4 Following

Joined 7 August 2019


Joined 7 August 2019
30 APR 2021 AT 21:16

Haar nhi manti ye zindagi

Chalte jana! Bas rukna nhi
Raftar mangti ye zindagi,

Kadam inke dikhte nhi
Chaap chod jaati ye zindagi,

Kabhi choti lgne lgti
Kabhi mushkilo se bhari lgti ye zindagi,

Kushiya ho toh mherbaan ye zindagi
Gam hote hi haaye ! Ye zindagi,

andhere ke baad ujala
sikhati ye zindagi,

Paristhitiyo se bhagna nhi
Ladna sikhati ye zindagi,

Kyunki kabhi haar manti nhi ye zindagi!!

-


1 OCT 2020 AT 17:09

Seediyan unhe mubarak ho
Jinhe ghr ki chat par jana hai
Jab manzil kamyabi ki uchai choona ho
Toh uska rasta tumhe khud banana hai..

-


17 JUL 2020 AT 10:04

Har raat ki ek nyi subha
Har sapne ki ek nayi kahani
Har pal muskurao badi khaas hai ye zindagaani

Har dukh ki ek nayi khushi
Har din ki ek nayi umang
Na shikayat na udaas ladna seekho..
yhi hai zindagi se jang..

-


13 JUL 2020 AT 9:49

Ye barsaat toh vo hai jo bina saavan hume bhigati ..
Is barsaat ko sirf humari khushi ya dhuk ka intezaar rehta..

-


11 JUL 2020 AT 10:01

।।गुरूर उपर चड़कर उतना करना
कि नीचे देखने का होसला रखना।।।

-


8 JUL 2020 AT 15:18

abhi toh shuru hui hai manzil..
manzilo me aane waali thokron se ladna hai..
zindagi ki lambai nahi zindagi ki gehrai napna hai ..
Abhi toh chale hai kuch hi kadam
thak har ke baithna nahi..
abhi toh aasman ki uchaiyan mapna hai ..

-


24 JUN 2020 AT 14:11

KIRDAR..

Jis kirdar ko hum humare liye chunte hai ,
uske liye hum kismat ke chune kirdaro ko thukraa dete hai ,
Apne chune kirdaro ko dhoondte dhoondte hum choti bulandiyo ko bhi nhi chu paate ,
Isliye ye yaad rkahna ...
Zindagi me kuch kirdaar hum humare liye chunte aur kuch hume chunte hai
Unko apnao choti bulandiyon ko pao,
Aaj is kirdaar ko sacchai se nibhao
Aur kal aane wali har badi bulandiyo ko dil se gale lagao...

-


26 MAY 2020 AT 11:51

मंजिल

मंजिल चाहें दूर होगी,
लेकिन राहों की खूबसूरती भी भरपूर होगी।
धीरे धीरे मंजिल का ठिकाना पा ही लेंगे,
गुमशुदा रास्तों पर अपना एक मुकाम बना ही लेंगे।
हारना नहीं ,क्योंकि।
कोई भटकता मंजिल किसी का उसी पे नाम होता है,
अौर हर रास्ते का अपना एक मुकाम होता है।।

-


30 APR 2020 AT 14:37

.देखो खुदा अपना नया आसमान बुन रहा है
उसके लिये ‌तारे भी अपने हिसाब से चुन रहा है
धरती के सितारों को ही अपने आसमान का तारा बना रहा है
अौर देखो अपने नये आसमान में केैसे सजा रहा है।

-


17 APR 2020 AT 9:50

Samey rehte sambhal jao

Waqt har baar dastak dega mauka nhi
Waqt har baar khud raaz banega raaz bateyga nhi
Sambhalne ka mauka diya sambhal jao varna ye mauka dubara dega nhi
Aur jo mauka gya to dua nhi dawa nhi
Bas Samey to rahega lekin samey ko dekhne waala nhi...

Samey rehte sambhal jao

-


Fetching Nitya Srivastava Quotes