Nishit Das   (Mr.Imperfect ✍️)
11.3k Followers · 83 Following

read more
Joined 21 July 2017


read more
Joined 21 July 2017
12 DEC 2024 AT 11:42

Kamsin badan, nashili aakhein, kya khub karigiri ki hai khuda ne..
Dekh kar tujhe hoor bhi kahe, Tarasha tujhe teri Maa ki dua ne..

—Mr.Imperfect ✍️

-


10 NOV 2024 AT 20:27

Kuch asraar likhana chahunga ki….
A little reminder 🫂✨

”ishq hi ibadat hai,
ishq hi tabahi hai,
yeh jo aalam_e_khauf hai,
yeh khud ki gawahi hai,
Na hasrat kisi ko paane ki,
na chahat kisi ko bhulane ki
Mita ke khud ke nishan ko,
yeh manzil jisne paayi hai,
Jo jaan-ta hai khud ko,
woh jaan-ta khuda-e hai
Apne mehboob ke khatir,
Yeh raasta usne banayi hai
Ishq hi ibaadat hai
Ishq hi tabahi hai
Ishq hi khuda-e hai
Ishq hi ilahi hai…
Ishq hi tabahi hai
Ishq hi ibadat hai, ishq hi tabahi hai…
ishq hi khuda-e hai, Ishq hi ilaahi hai… “

—Mr.Imperfec t✍️

-


15 FEB 2024 AT 4:23

Tujhe dekhe bina joh kabhi soo nhi pata tha
Zara soch tujhe dekhe bina hi ab mar jana hai

-


12 FEB 2024 AT 3:18

Mana haara mohabbat mein sab kuch main, usse kya
uske baad joh main, main-se mila kya yeh kam nahi


-


12 FEB 2024 AT 2:47


Main Peeta toh nahi pad pe raha hun
Yeh eham baat hai ki main jee raha hun

-


11 FEB 2024 AT 1:07

Har dafa bas yahi laga ke woh mera hua
Aankhein khuli aur pata chala sawera hua

-


25 APR 2023 AT 22:34

Sareaam bazar mei uchale gaye hum
Darr—asal dil se nikale gaye hum

Dariya Sahil se chhoot toh gayi magar
badi mushkil se fir sambhale gaye hum..

-


23 APR 2023 AT 23:06

The brutal truth is that you must have missed someone badly before starting to forget..!

-


28 FEB 2023 AT 1:48

Kitna pagal tha woh jo tumse dil laga baitha
Khareed kar ghar apna kamra gawa baitha

Ek toh pehle hi kamzor tha haal-e-surat-e-dil
baad ishq mei isee aur kamzor bana baitha

Khata kya huyi jo saza-e-hizra diya tumne
Ranzishein bohat ki par lab pe jab baitha bas dua baitha

Chahta toh uker deta fareb-e-mohabbat sahab
Par khamosh raha lab aur halak ko jala baitha

Baat sab(raat) tak ki rehti toh main bhula deta
Baat fazar(subah) ki thi yaaron so dil dukha baitha

Uss raat uthi cheek ghut rahi andar hi andar
Tabhi aaj kalam-o-panna ko main rula baitha.. !

-


13 FEB 2023 AT 5:50

Woh nazar mein utartein hai nazar se utartein nahi
Dil mei rehte hai magar kabhi dil mein utartein nahi..


Yah bhi Ajeeb Maslahah hai mohabbat mein yaroon
Jo kareeb hai woh aate nhi jo door hai woh door jate nhi.. !


-


Fetching Nishit Das Quotes