Meri Dadi Maa
Jisne har waqt bas pyar diya,
Dukh me bhi apno ka dhyan diya,
Uske dil se pak dil dekha nahi , ye sach hai koi shayri nahi,
Wo jab Maatha chumti thi to ishwar ka abhas hota tha,
Door hoke bhi uska har pal ehsaas hota tha,
Kash use bata pata khulke ki kitni pyari hai wo,
Duniya se alag ek jeeti jagti devi ki murat hai wo ,
Haan kuch aisi hi thi meri dadi maa,
Jisse mai beintehaan pyar krta hu ,
Kash ik aakhri baar unse mil kar unhe gale laga kar bata pata ki ,
Gar poochta khuda mujhse ki akhir khwaish kya hai teri,
bas apni Dadi maa ko har janam me paun yahi jannat hai meri.-
Wo ek Haseen khwab sa lagta hai,
Jo mere kareeb rehta hai,
Dil karta hai uspe sab kuch kurbaan kar doon,
kambakht uske lie wo bhi kam sa lagta hai.-
Kuch to khwaishein adhoori reh hi jati hain, zindagi ka dastoor hi aisa hai.
-
Kuch tum samajhlo, Kuch hum samajh lenge, Zindagi yuhin asaan ho jayegi.
-
Meri rooh mera Sach mera har jazbaat Ho tum, Jo andhero me bhi ujala Karde wo chandni raat ho Tum.
-
Usne kaha Bayan krdo apni mohabbat ko, ab kis tarah krein Ye haale bayan .....
Ab to khud bhi Lafz poochte hain apne haal se, to uske paas bhi shabd kam pad jate hain.-
Usne kaha itni mohabbat hai aapse ki is zindagi me aap sun nahi sakte, hamne bhi muskura kar keh diya 'Sun chuki hai meri dhadkan teri dhadkano ki aawaz muddaton pehle , ab Kya haalezikr Krein'
-
Ishq Kya hai Ye khabar na thi tere aane se pehle,
Ab to Shareer ka rom rom hai tere hawale..-
Teri chahat is qadar mere dil me utregi ye khabar na thi mujhko,
Aaj jana hai Ye to mujhme hi thi bas khabar kuch der me lagi mujhko.-
Kuch baat to hai uski aakhon me,
Na Jane Kyu sheeshe ke aage bhi khud ka Chehra dhundla sa dikhai deta hai..-