बहुत हुआ इंतजार, अब तो आ जाओ
इस अकेलेपन से मुझे, आज़ाद कर जाओ-
Harpal yhi dar satata hai..
kahi kho na du phir se kisi apne ko..
bikhar gye the hum, khoke tujhko..
bass, apno n hi hume baandhe rkha hai-
na jaane kyu, vo ehsaas kahi kho gya h
baato ki methaas fiki si ho gyi h
hamari hassi bhi kahi kho si gyi h
hamare liye tumhari fikhr bhi ab gumsuda ho gyi h
umeed h sab phle jaisa ho jaaye,
isse phle ki hum kahi kho jaaye...
-
ae zindagi kya iraada h tera,
kabhi gamo ka paahad,to kabhi khushiyo ki bahaar
kabhi logo ki nafrat,to kabhi apno ka beinteha pyaar
kyu itna tadpa rhi h,kyu itna sata rhi h
ek baat tu mujhe bta aaj
konsa khel baaki h khelna
ab iss khilaune k saath?
-
aa gye hum bhi Zindagi k uss mod par
jaha kuch samajh hi nhi aata ,aakhir chahte kya h zindagi se
krna to bhot kuch chahte h, sapne bade bade dekhte h
par pura unhe krne ka, raasta hi nazar nhi aata
phir thak kar bachpan ki yaado mai kho jaate h..
or sochte h ..ki kaash hamaara bachpan hi laut aata..-
kuch to kahiye , yu chup na rahiye
ye khaamoshi humme behad tadpa rhi h
iss naarazgi se hamari jaan jaa rhi h
har saza kubool h humme
bass ek baar hamara gunah to baya kijiye
-
mere hoto ki muskuraahat aap se h
meri har khusi ki wajah aap se h
aa gye ho zindagi mai hamaari
to yu rusvaa krke humme na jaana
kyunki ab to hamaari saanse aap se h-
अब जो कह दिया है अलविदा उनको
फिर क्यों यादौ में उनकी खोया है
ऐ मेरे पागल दिल,
क्यो तड़पा रहा है खुदको,
ज़रा कोशिश तो कर भुलाने की उनको
-
paas tum hote ho to khushi mujhe hoti h
tumhe khone k darr se aankh meri nam hoti h
zudd gya h ek alag sa rishta tumse
kabhi na honge juda,
karo vaada humse..
-
ना तुम्हे खोना चाहती हूं
ना अपनों को दुख पहुंचाना चाहती हूं
क्या है समाधान इसका
बस इसी कसमकश में खोई रहती हूं
-