π’π’Šπ’Œπ’‰π’Šπ’ π’—π’Šπ’•π’Šπ’“π’Šπ’‚ Β  (𝒩𝒾𝓀𝒽𝒾𝓁)
11 Followers Β· 7 Following

read more
Joined 14 June 2020


read more
Joined 14 June 2020

Bahut se ansu chupa ke rkhe
Hai Maine ankho me apni ,
Tumhare samne khulkar rou to mere Ansu puch paogi ?
Zimmedariyan bohot si hai mere kandho pr,
Jab pareshan rahu toh mujhe tumhare kaandhe pr sar rakhne de paogi ?
Kaamyabi mein toh sb dete hai
Kya Tum meri haar mein saat de paogi ?
Iss Zindagi ke safar mein chalne ko tumhara sath chahiye ,
Kya tum mere hatho mein apna hath de ke chal paogi ?
Deep lines... plz read .

-



Jhuth likhu toh tujhe apna likh du ,
Sach likhu toh khud ko tera likh du .πŸ™‚

-



Bharosa rakho Ishh bande aur iski dosti pr ,
Hum kisika Dil dukhaya nhi krte ,

Aap aur apka andaz hame accha laga ,
Wrna hum kisi ko Dost banaya nhi krte..

-



Woh khush hai par shayad
Hum se nahi ,
Woh naraz hai par shayad
Hum se nahi ,
Kon kehta hai ke unke dil
Mein mohabbat nhi hai ,
Zarur hai pr ,
Hum se nahi .

-



Tujhe guroor hai tujhe chahne wale bahot hai !

Mujhe guroor hai unme mujh jaisa koi nhi ...
Waqt.... ke saath.

-



Kashti bhi na badla, dariya bhi na badla ,
Aur doobne walon ka jazba bhi na badla ,

Hai shauq-e-safar ek umar se aise yaro ,
Pyar bhee na paya aur yaar bhee na badla .

-



Mere jeeney ki wajah jo hai lazim ,
Woh shaks pata hai ??
Mein roz aata hu uss saks ko ..
Teri Ankhon main dhundnei ,
Kahin mill nhi rahi ,kya tujhe uska pata pata hai .?
Ab tu chahata hai ki ,
Teri shikayat ab mein kisi se na karun ?||
Toh tu ek kaam kar ,
Jaa ek aise jagah dhund ke dikha,
Jahan khuda aur khuda ka koi wasta na ho......

-



Bechain nahi ..
Mujhe chain Nahi ,
Tujhe zarurat nahi ..
Meri aur koi zarurat nahi ,
Bde lambe Arse ke baad kisi se dosti krni chaahi ........
Tujhe kadar Nahi
Mujhe sabar Nahi .
😌

-



" Aisa kya likhoon ke Tere dil ko sukoon pahuchey,
Kya yeh kaafi nhi ki meri duaaon mein tum ho . "

-



Make memories with the right people.


❀
Agar insaan galat ho toh yaadein dhundli Nazar aati hai .

-


Fetching π’π’Šπ’Œπ’‰π’Šπ’ π’—π’Šπ’•π’Šπ’“π’Šπ’‚ Quotes