Aasman chhoona hai, toh zameen se rishta to hoga
Lahu paseene se likha har qadam ek kissa hoga
Raat jitni gehri ho, savera utna roshan hoga
Hausle buland ho jahan, har manzil wahan aasaan hoga
Har saans mein chhupi ho aas, har nazar mein armaan hoga
Jo khud pe rakhe yaqeen har dafa, Waqt ke har imtihaan Mein wahi kamyaab hoga-
Zehar ke ghoont peeker bhi jee rahe hain,
Zindagi se har roz kuch seekh rahe hain.
Kadvi yaadon ka swaad abhi tak baaqi hai,
Par umeed ki kiran ab bhi jhaanki hai.
Zindagi ne har mod par aazmaya humein,
Zehar bhari raaton ne samjhaya humein.
Gham ke saaye mein bhi hansna seekha,
Toot kar bhi khud ko joda dheere-dheere.
Zehar agar dard hai, to zindagi marham,
Har andhere ke baad aata hai ek mausam.
Chalo, is zehar ko bhi hanskar pee lein,
Zindagi ke har rang ko khulkar jee lein.-
Riyasat thi kabhi dilon par hamari
Ab khandhar sa lagta hai ye Aashiyana.
Woh wafa ki saltanat bhi dhah gayi
Jab se tera naam aaya zamana.-
Yaad karo woh din, jab dost bane they hum
Woh pal kuch anokha tha, sab sach aur bilkul yeh dhokha na tha
Raaton ki baatein, woh hansna woh rona
Jaane kyun ab lagta hai, sab ek fasana
Yaad karo woh din, jab hum saath they
Waqt beeta magar, yaadon mein hum aaj bhi rehtey
Ab bhi woh yaadein, dil ke kareeb hain
Yaad karo woh din, jab dost bane they hum-
Sometimes you need to let go off small fights to win a colossal war
-
In our part of the world, we look at mental health, the way we look upon our dreams. We are in denial of both of them!
-