Ik dusre se bahut alag hai hum
Mera bachpana kabhi khatam nhi hota ,
aur wo samjhdari se kaam karta hai
Main thoda uljha deti hu cheejon ko,
aur wo seedhi baat karta hai
Main laparwahi karti hu ,
Aur wo cheejen shambhal leta hai
Main dil ki baat karti hu ,
Aur wo jindagi ki baat karta hai
Main uskae hisaab se chlti hu ,
Aur wo cheejen kae hisaab se chlta hai
Par kuch toh hai jo alag hokar bhi ik hai hum ❤️
-