Nidhi Agrawal  
33 Followers 0 Following

Love yourself always.
Joined 27 March 2018


Love yourself always.
Joined 27 March 2018
10 JAN AT 12:13

Aankhon ki kaid mein,
Yaadon ka samandar hai....

Jinhe sazaa puri kaatne par bhi,
Kabhi zamanat nahi mili...

-


2 SEP 2021 AT 20:52

Dil se jude hue rishte,
Dikhayi de jate hain hazaaron mein

Aur tarazoo mein tole hue rishte,
Dikhayi dete hain bazaaron mein.

-


26 AUG 2021 AT 23:29

Shauk nigaahon ka,
Teer dil pe chalate hain

Ye dekhte kahin hain,
Aur kisi aur raste nikal jate hain.

-


14 JUN 2021 AT 8:58

Jo bhi mujhse kareeb the, aur jo kareeb hain,
Bas itna kehna hai ki, aaj bhi tum meri yaadon mein ho,

Aaj bhi.. Tum yaad aate ho ❤️

-


12 JUN 2021 AT 17:07

If you expect happiness,
you have to face sadness too.

Either take both or don't expect any.

-


27 MAY 2021 AT 22:58

Kyu rota hai kho kar?
Kya laaya tha saath jo gawa diya?

Jo paya yahi paya,
Khoya bhi isi jag mein..

Kyu hota khush paa kar?
Jab ye sukh bhi tera nahi,
Kyu hota udaas haar kar?
Jab ye dukh bhi tera nahi.

Sukoon hai wahi,
Jaha sukh-dukh mein bhedh nahi.

-


10 MAY 2021 AT 23:53

Jisne dia saath, phool sa bhi humara,
Rahi saansein toh, hum bagicha lautayenge.

-


4 MAY 2021 AT 21:24

Jo kaanch sa naazuk, phoolon sa komal ho,
Jo patthar liye haathon se, darta ho..
Ye bharosa hai? dil hai? pyaar hai? kya hai?

-


29 APR 2021 AT 0:50

Laal rang hai pyaar ka, suhaag ka nahi..
Saathi ki saansein thamne par, pyaar khatm toh nahi hota...
Fir laal rang safedi kyu odhta hai?

Jab tak wo pyaar zinda rahe , tab tak laal rang chadha rahe...



-


25 APR 2021 AT 21:50

Todh deta hai andar hi andar tera har imtehaan..
Fir sanwaarta hai apne hi andaaz mein,
Kaise parakhta hai tu ae Khuda?
Chot bhi deta hai aur haarne bhi nahi deta.

-


Fetching Nidhi Agrawal Quotes