Aek arsa beet gya
munafiqat ke taaluq nibhane mein,
or haqiqat ko pal bhi nhi laga
sab gwane mein...-
Mana ki sakoon
Ke lamhe Kam hain,
Zindagi mein khushi
ke nagme Kam hain,
Kaise thheher jaein
Iss Safar mein ghalib,
Mutalba hai zaroorat ka
Khawaisho mein uljhe
Bande hum hain....
-
Bezaar ho jati hai zindagi
Zaroorato ki ked mein,
Kambhakt zarooratien
Adhoori reh jati hain,
Beshak zindagi poori ho jae....-
Kya khoob hai
Hausla uss Khamoshi ka
Jo munafiq chehro ko dekh kr bhi
Shiqwa nahi karti...-
Bta diye kuchh gam
kuchh btaane abhi baki hein
bhool jaun agr apno ke diye jakhm
to kambakht satane wale abhi baki hein
kuchh khone ke khauf se
kuchh paane ki khuwaish mein
chhupa liye hein kuchh gam
kuchh chhupane abhi baki hein...-
Kaash hazaaro apna
kehne walo mein,
chnd mukhlis bhi
shaamil hote....-
Girvi padi hai, logo ki shaqsiyat
mehez zaroorat ke pardo mein
yahan zaroorat badalti hai
or wahaan log bhi badal jate hein..-
waqt ka guzrna
to maamool hai,ab
chahien koi sabr mein guzaar de
ya halaato ki fikr mein...-
khawaish hai duniya ki
to zindagi kya hai ? guzar jaegi
jb talash ho, khud ko khud ki hi
to zindagi bhi thhm jaegi....-
Ab fursate zindagi mein
dastak kahaan deti hein
din khuwaishein bunta hai
or raat shiqwo mein guzar jati hai...-