Maine toh khayalat ko qatl krke aaya tha
Ulajh kaise gaya uske jadoo me phir bhi main..
Uski woh ek muskaan ne todha jo dewaar,
Najaane kitne qasmein kha rakha phir bhi main..
Apni aankhein gawaah hai aise kitne dildaaron ke,
Kaise uspe aur dil laga baitha, phir bhi main ?
Tumko kya aur kitna sunaau dastaan apni,
Main khud sharminda hoon ab, ki phir bhi main ..
Kisse bayaan krunga yeh uljhanein ab jaake,
Dil tudwaake aa gaya bawajood phir bhi main !
Tum bhi shikayat krte ho? pareshan ho mujhse ?
Umeed toh nhi thi tumse khair phir bhi main ..
Tum Jo aaye dil lagaane, iss tooti makan ko jhodne
Himmat toh nhi lekin , dekhta hoon phir bhi main ..-
It had to end, so it's there.
Chahat yun hain ki woh aaye na, agar bas hmare bulaane se aaye ..
Chahta hoon hmare begair woh reh na paaye, aur koi bahaane se aaye !
Jab woh aaye toh aise aaye, roke na koi cheez unko, jo zamaane se aaye !-
Na likhna tum kabhi mere,
Rang , roop ya chaal ke baare me..
Likhna hi hai kabhi agar toh,
Likhna mere khayal ke baare me !
Mohabbat me kaisa tha main,
Yeh toh khair sab jaante hain..
Tum agar likho toh,
Likhna uske baad ke haal ke baare me !
Iljaam toh bewafai ka humpe zaroor,
Tum agar likho unke kamaal ke baare me ...-
Jo bhi aaye shikaar ko iss weraani me,
Yun ho ke sabko ek aadh parinda mile..
Marne ko toh hain kabse bechain magar,
Yun ho ki maut aaye toh hum zinda mile ..
Kabse hai tanha armaanon ke shaam yahan,
Andhere ke saath sahi, koi toh bashinda mile !-
Ab hum mil bhi jaaye kahin raaste me,
Yun hi chlke Be-fikr guzar jaaiyega..
Hai jo mohabbat aapke hisse me ab
Na hmare ishq se bhi, mukar jaaiyega..
Hai lambi bahut yeh yaadon ki safar,
Shukriya aapka bas, utar jaaiyega..
Kr lo mohabbat khub par itna nhi ki,
Bharoosa tootne pe, bikhar jaaiyega.. !-
The story of the finest script that just didn't click right,
That shouldn't be the end of the world, right ??
Scared dreams and a small little heartbreak,
Sleepless nights and nothing more does it take.
Celebrating the feeling of a home together,
That glorified flame has cursed me forever.
One catastrophic ending knocks me out every night,
And yet, it shouldn't be the end of the world , right ?
Maybe I knew how it was all going to end,
I was wondering what if you had given a hand ?
You just turned the page and never looked back,
It was heart wrenching ,lonely steps of walk back ..
Even during the darkest of nights,
Her little smile is the only ray of light .
To all the heavy untold burdens, this is it. Exactly right !
-
Chlo aisa krte hain,
Ek aakhri baar baat krte hain,
Tumko hai ki azaadi aur humein intehaa,
Chlo ek saath krte hain..
Qatl hi toh krna hai,
Chlo isko anjaam-e-raat krte hain..
Ab aake baithe hi hain,
Toh yun hi do-chaar baat krte hain ,
Gile-shikwe honge hum dono ko,
Dafan inko ek saath krte hain
Rhe gam ke shikaar bahut,
Gam yeh ab hum khudko saugat krte hain..
Uljhanon ki be-intehaa iss daur ko,
Ab hum ek haath krte hain..
Chlo aisa krte hain,
Ek aakhri baar mulaqat krte hain..-
Todhne waalon me naam sirf mera hi tha,
Issi sarnaame ke saath hum teri kahani se nikle..
Yun toh madhosh hote hain aur sab log bhi,
Par badnaami ke saath hum hi jawaani se nikle..
Teri adaton se riha hona ek inteha sa tha ,
Tune toh munh phera aur hum tere rawaani se nikle ..!-
Eid aa bhi gayi darwaaze pe dastak dene,
Ab tak mere mehboob ke deedar aane se rhe..
Jo mahinon se sjaaye rakhe dukaan umeedon ki,
Par ab ke bhi koi khareed-daar aane se rhe..
Rehti thi bheed jis bazaar me khareedne waalon ki,
Tere baad isme koi bhi talab-gaar aane se rhe !-
Wafa seekha hai kayi darbaar se humne,
Bacchon ne sikhaye itminaan se be-wafayi..
Sochte honge gair bhi dil dukhane se pehle,
Par apnon ne dikhaaye gazab ki safaayi !-