nehal ansari  
9 Followers · 5 Following

Joined 1 June 2019


Joined 1 June 2019
YESTERDAY AT 0:34

Waqt se ek shikayat hai mujhey!

Sikhaya sab kuchh to waqt ne hi, par kabhi waqt par nahi sikhaya.

-


27 APR AT 14:51

Hum insaan kitney matlabi aur munafiq hain, dusron ko takleef me dekh kar uskey gunahon ki saza samjhtey hain, aur jab khud ko takleef me paatey hain to usey aajmaish samjhtey hain.

-


26 APR AT 22:58

Kitna ajeeb hai na!
Duniya naseeb se milti hai aur
aakhirat mehnat se.
Lekin, hum puri zindagi mehnat
kartey hai duniya paaney ke liye
aur aakhirat ko naseeb par chhod dete hai.

-


17 APR AT 23:23

Fursat mil jaye auron se to sochna zara, kya ab fursat me hi yaad karney layak talluq hai hamara?

-


17 APR AT 21:41

Sach bolna bilkul theek hai, par sach bolney se jyada sach ko sunney aur usko qubool karney ki takat chahiye hum insano ko.

-


16 APR AT 23:18

If Allah has blessed you with the ability to help or do good to someone, then don't waste even a moment wondering why I should do it.

Humans are the highest among all creatures, why should one become an animal for selfish reasons?

Allah has chosen you to help someone, otherwise it is not a big deal for Allah to bring someone else in your place and you end up needing help.

So be happy that Allah has created you as a medium to accept someone else's prayers.

-


13 APR AT 22:34

Baat jaruri hai to insaan ko bhool jao,
Insaan jaruri ho to baat bhool jao.

-


10 APR AT 0:15

Jis Allah ki ibadat hum Ramzan me itney khushmijaji se kartey hai, wahi Allah ramzan ke baad bhi to rehta hai, fir hum kyu wiraan chhod dete hai masjidon ko?
Eid me to khushiyan hum sab manatey hai par masjidein Eid baad udaas ho jaati hain.

-


8 APR AT 23:34

Khud ko takleef me pa kar ke to sab rotey hai, par kisi ghair ki takleef me tumhari aankhein agar bhar jaye aur tum roney lago to yaqeen mano tum Allah ke makhluqon me se behtareen ho.

-


6 APR AT 1:32

Those whom Allah had promised
heaven had acted like they weren't.

We aren't even promised Jannah
but we humans commit all kinds
of sins, give people the worst of pain,
break their hearts and at last,
after offering some namaz / Salah,
we think that heaven has now
been confirmed for us.

Allah does not love the oppressors.
QUR'AN, 3:140

-


Fetching nehal ansari Quotes