Aksar pareshaan karti hain tumhari
aadatein jo laut aati hain hawaon ke saath
Bina jurm ke ye kaisi saja hai jo har roj
mil rahi hai mujhe aajamane ke liye
Maana gunaaho ke ghar mein basar tha hamara
Par asar aaj bhi ye ajeeb hai
tumhari maujoodagi ka
ki tum na hokar bhi tum hi tum ho har jagah
Kaise keh dein ki tumhara zikr nahin hota har waqt
tumhare bin toh har din andhera hai.
Wahan tumhara jahaan adhoora hai
yahan mera, par tum gum ho kahan,
jo sapne humne dekhe the saath mein
wo naaraj hain humse khamakha.
-