Neha Jain  
5 Followers · 4 Following

Joined 10 May 2020


Joined 10 May 2020
8 OCT 2021 AT 0:59

Usse hasta dekh, mai bhi hass padti hu
aise jaise, sadiyo se tarasi padi hu
haule se, uska haath pakad
mai bhi, chal padti hu
thokar lagi tho, zameen se lipatkar
uska saya, chupke se chum leti hu
mat pucho! woh kaun hai mera,
mai kayi dafaa khuda ki jagah,
uska naam likh deti hu.

-


8 JUL 2021 AT 17:06

Behoshi mai bhi bepanaah pyar kiya tha,
usne mujhe uss din mujhse zyada paa liya tha,
bina chadar ke mai so nahi paati,
usne itna mujhe kab aur kaise jaan liya tha,
uththe hi subah usne maate ko chuma tha mere,
haan, maine uss din ishq ki taaqat ko mann liya tha

-


6 JUL 2021 AT 18:06

Khud ko badal baithi thi mai
usko badalne ke chakkar mai,
Saari aadatein mita baithi
uske kareeb aane ke chakkar mai,
Jaan jaan keh kar bulati thi,
uski jaan bann jane ke chakkar mai,
Pyar karo tho dil-o-jaan se karo,
suna tha abh manti hu,
Mai duniya bhula baithi thi,
ek usko yaad rakhne ke chakkar mai.

-


11 JUN 2021 AT 16:46

Muje lejane aaya tha,
sapno ki duniya mai woh,
Apna sabkuch mujhpar luta kar chala gaya,
iss ek mulaqqat mai woh,
Jab mai khudse haar baithi thi,
tabh haath mai zindagi thama gaya tha woh,
Aasan nai tha maan jaana,
par mere har nabz mai ishq sa ghul gaya tha woh.

-


30 APR 2021 AT 21:45

Kaatilana gussa uska,
befikr sa andaaz hai
shakal se bacha akal se kacha,
dil lutana uska mijaz hai
hasi uski kamaal hai,
aankhein uski bawaal hai
sunlo khudko aashiq batane walo,
woh ishq ki misal hai

-


1 DEC 2020 AT 0:10

 Tumse mile ek pura saal hogaya hai
khushnuma sa ab mera andaaz hogaya hai
maano- tho ek cheez kahu?
tumhara diya hua ghaav aur
tumse lagav ab aur gehra sa hogaya hai
Haan! kuch roohani yaadein jaati nahi
par kasam se, bhulana ab aur bhi aasaan hogaya hai.
 

-


22 OCT 2020 AT 12:49

Maut ka manzar haseen tha
uss sapne se,

Jis sapne Mein-Mai usse ,
aur woh mujhse judaa tha

-


25 SEP 2020 AT 17:36

Tu aadat nai, meri ibaadat bann gaya hai
tu khamoshi nai, mere alfaaz bann gaya hai
tu junoon nahi, mera fitoor bann gaya hai
tu mizaaj nai, mera har andaaz bann gaya hai

-


19 SEP 2020 AT 14:53

Ae Zindagi ! tujhse kuch mangti nahi,
phir tu sab cheen kiu rahi hai

mere apno ko mujhse ,durr kar kiu rahi hai

koi galti hui hai?
ya bin baat ki sazaa de rahi hai

Ae zindagi ! meri Khushiyon ka mazak kiu bana rahi hai

-


6 SEP 2020 AT 20:53

 Teri baahon mai khushiyan tamaam hai

bina tere sukoon bhi bekaar hai

vaise tho apni zindagi kaafi pyari hai mujhe

par meri jaan tujhpar
yeh zindagi bhi kurbaan hai

-


Fetching Neha Jain Quotes