Apne hi man se wo bas baat kiya krte hain,
Kar de kabhi hum call, to mood off hai bol diya krte hain,
Pooch lun agar me kabhi, ki hua kya?
To mujhe sawal nhi pasand bol, do chaar suna diya krte hain,
Aur apne zigar ka wo hme tukda kaha krte hain,
Chahti nahi unhein kabhi akela chhodna,
Kyunki akele me wo bas preshan raha krte hain,
Chubh jati hai unki har baat kitni,is baat ka wo andaaza bhi nhi lgaya karte hain,
Aur bs apne hi man mutabik wo hmse baat kiya karte hai,
Chahti hun unke har gam ko door krna agar sath de wo,
Par shayad wo ab gamon se hi pyaar kiya karte hain.-
uski nazaron se rishta bhi bas dosti ka hi hai hmara,
Me us rishte ko badnaam karti ja rhi hu,
Sonp diya hai khud ko use, jo mera hai bhi nhi,
Or me use apna samajhti ja rhi hu,
Be naam se rishte me ulajhati ja rhi hu,
Zaruri bhi nhi shayad jiske liye hum,
Me use hi apni zindagi samjhti ja rhi hu,
Intzaar hai use kisi or ka,
Or me uska intzaar krti ja rhi hu,
Be naam se rishte me ulajhati ja rhi hu.-
Be naam se rishte me ulajhati ja rhi hu,
Uski khwahishon ko poora karti ja rhi hu,
Maan leti hu uski, har baat kahi,
Or apni hi najaro me girti jaa rhi hu,
Uske hothon ki bus muskan ke liye,
Me apne aansuon ko has k piti ja rhi hu,
Be naam se rishte me ulajhati ja rhi hu,
Nahi mila pati me najre ab khud se bhi,
Apni laaz ka gehna me khoti ja rhi hu,
Toot si gayi hu, sab sambhaalte sambhaalte,
Or me khud hi andar se tooti ja rhi hu,
Sharma jati thi me, har baat par kabhi,
Ab besharmi ki saari hade paar karti ja rhi hun,
Nafrat hone lgi h ab to khud se hi,
kya thi me or kya banti ja rhi hu,
Be naam se rishte me ulajhati ja rhi.
-
Ek to ye sardi, Doosra ye barish, Upr se tera door hona,
Ye mausam kahin jaan na le le meri.-
Aaj suraj bhi kitni sharaaratein kar raha hai,
Baadlon ke sath, kab se luka chuppi khel rha hai.
-
Zaruri hai kya chehre ka khoobsurat hona,
Dil ki khoobsurati kafi nahi kya?-
Agar kisi ki ek galti ki wajah se, use akela chor dena pyaar hai,
To kisi ki haar galti ko maaf kar, uske sath khade rahana kya?
Agar kisi ki ek galti ki wajah se, us se nafrat karna pyara hai,
To kisi ki har galati ko maaf kar, use beintehaa mohabbat karna kya?
Agar kisi ki ek galti hone par, uske hazaaron sorry ko nazarandaaz karna pyaar hai,
To kisi ki bas awaz sunte hi uski sari galtiyon ko bhool jana kya?
Agar kisi ki ek galti ki wajah se, usse baat na karna pyaar hai ,
To kisi ko udaas dekhte hi us se baat kar lena kya?
-
Hamen har tyohaar kapde dila kar,
Khud 2 jodi kapdo me hi saalon kaat diya krte ho aap,
Papa itni mehnat kya bus hamare liye hi karte ho aap?
Kuch pasand bhi aa jaye agar apko, to uski keemat dekh waapas rakh diya karte ho aap,
poochhen agar hum to pasand nahi aya aisa bol diya karte ho aap, Or hamen har kimati cheez bhi dila diya krte ho aap,
Papa itni mehnat kya bus hamare liye hi karte ho?
Humari saari khwahishon ko poora krne ke liye, apni khwaish ko bhi maar diya krte ho aap,
Papa itni mehnat kya bus hmare liye hi krte ho aap?-
Ek roz wo aaye or poochhne lge,
ye aankhe nam kyun hein tumhari,
Humne bhi muskura kar keh diya,
Ye saza e mohabbat hai janaab jo hum tumse kar baithe.-
Mai jaag kar raaton me ,teri ek call ka intzaar kiya krti hu,
Or Tum neend me choor apne takiye ko gle lga, so jaya krte ho,
Ek baar hi sahi, kabhi to soch liya kro, ki koi jaag rha hai tumhare liye ,baat na kro to
na sahi, kam se kam inform to kar diya kro,
Taaki aram kr ske wo ankhe bhi jo raat bhr tera intzaar kiya krti hai.-